mere siwa
tū hī batlā ki bhalā mere sivā duniyā meñ
kaun samjhegā in āñkhoñ ke tabassum kā gudāz
in sharar-bār nigāhoñ meñ magar mere sivā
dekh pā.egā bhalā kaun karam ke andāz
jin fazāoñ meñ bhaTakte haiñ ḳhayālāt tire
hai vahāñ kaun ba-juz mere tirā ham-parvāz
kaun paḌh pā.egā tahrīr-e-jabīn-e-shaffāf
kas ko mal saktā hai be-vaj.h taġhāful kā javāz
kaun samjhegā ba-juz mere tirā huzn-o-alam
jab tire dosh pe bikhrī bhī na vo zulf-e-darāz
to hī batlā ki bhalā kaun samajh pā.egā
tere hoñToñ se bahut duur tirī aah kā raaz
jazb ho kar shab-e-tārīk ke sannāTe meñ
kaun is tarah sunegā tire dil kī āvāz
tu hi batla ki bhala mere siwa duniya mein
kaun samjhega in aankhon ke tabassum ka gudaz
in sharar-bar nigahon mein magar mere siwa
dekh paega bhala kaun karam ke andaz
jin fazaon mein bhaTakte hain KHayalat tere
hai wahan kaun ba-juz mere tera ham-parwaz
kaun paDh paega tahrir-e-jabin-e-shaffaf
kas ko mal sakta hai be-wajh taghaful ka jawaz
kaun samjhega ba-juz mere tera huzn-o-alam
jab tere dosh pe bikhri bhi na wo zulf-e-daraaz
to hi batla ki bhala kaun samajh paega
tere honTon se bahut dur teri aah ka raaz
jazb ho kar shab-e-tarik ke sannaTe mein
kaun is tarah sunega tere dil ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.