meri aahaT
merī aahaT guuñj rahī hai
duniyā kī har rāhguzar meñ
uushā mere naqsh-e-qadam par
ḳhushbū kī pichkārī le kar
rañg chhiḌaktī jaatī hai
sūraj ke albele muġhannī
jumbish pā ke sargam par
sañgīt sunāte jaate haiñ
sajī-sajā.ī shaam kī dulhan
shab kī siyah-andām abhāgan
mere man kī nāzuk dhaḌkan
ek hī taal pe lahrātī haiñ
chanchal lahreñ sarkash zarre
kohre kī bāñhoñ meñ saa.e
gard-e-kaf-e-pā ke sayyāre
ek hī gat par naach rahe haiñ
merī aahaT guuñj rahī hai
duniyā kī har rāhguzar meñ
phir bhī yuuñ lagtā hai jaise
ye giitī bā-vasf-e-vus.at
ek akelī bastī hai
aur jaise har bazm-ārā.ī
ik iz.hār-e-tanhā.ī hai
aur jaise ye chāñd sitāre
sūraj, dariyā, sahrā
mausam barr-e-āzam
sab mauhūm dhundalke haiñ
sab merī pā.inda anā ke jalte bujhte haale haiñ
sab āvāzeñ faanī haiñ
ik merī aahaT lāfānī hai
meri aahaT gunj rahi hai
duniya ki har rahguzar mein
usha mere naqsh-e-qadam par
KHushbu ki pichkari le kar
rang chhiDakti jati hai
suraj ke albele mughanni
jumbish pa ke sargam par
sangit sunate jate hain
saji-sajai sham ki dulhan
shab ki siyah-andam abhagan
mere man ki nazuk dhaDkan
ek hi tal pe lahraati hain
chanchal lahren sarkash zarre
kohre ki banhon mein sae
gard-e-kaf-e-pa ke sayyare
ek hi gat par nach rahe hain
meri aahaT gunj rahi hai
duniya ki har rahguzar mein
phir bhi yun lagta hai jaise
ye giti ba-wasf-e-wusat
ek akeli basti hai
aur jaise har bazm-arai
ek izhaar-e-tanhai hai
aur jaise ye chand sitare
suraj, dariya, sahra
mausam barr-e-azam
sab mauhum dhundalke hain
sab meri painda ana ke jalte bujhte haale hain
sab aawazen fani hain
ek meri aahaT lafani hai
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.