merī nannhī bachchī mujh se kahtī hai
abbū raat ga.e tak āḳhir jāgte kyoñ ho
beTī maiñ rātoñ ko aksar sher likhā kartā huuñ
merī bachchī hairat se mujh ko taktī hai
aur kahtī hai
abbū
aise sher na likkho
jin ko likhne kī pādāsh meñ rātoñ ko bhī niiñd na aa.e
haañ beTī tum sach kahtī ho
lekin baat hī kuchh aisī hai
maiñ jo sachche sher likhūñgā
log tumheñ zinda jāneñge
duniyā tum se pyaar karegī
achchhe abbū
aisā hai to
aaj se phir ham bhī jāgeñge
meri nannhi bachchi mujh se kahti hai
abbu raat gae tak aaKHir jagte kyon ho
beTi main raaton ko aksar sher likha karta hun
meri bachchi hairat se mujh ko takti hai
aur kahti hai
abbu
aise sher na likkho
jin ko likhne ki padash mein raaton ko bhi nind na aae
han beTi tum sach kahti ho
lekin baat hi kuchh aisi hai
main jo sachche sher likhunga
log tumhein zinda jaanenge
duniya tum se pyar karegi
achchhe abbu
aisa hai to
aaj se phir hum bhi jagenge
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 50)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.