meri chahat
maiñ kyā chāhtā huuñ maiñ kyā chāhtā huuñ
har ik chiiz ko bhūlnā chāhtā huuñ
mirī chaah ko dekh kyā chāhtā huuñ
qasam chāhtā huuñ jafā chāhtā huuñ
mohabbat meñ terī miTā chāhtā huuñ
fanā ho ke lutf-e-baqā chāhtā huuñ
vahī pyārī pyārī adā.eñ tumhārī
maiñ ik baar phir dekhnā chāhtā huuñ
madad al-madad be-ḳhudī-e-mohabbat
maiñ apne ta.iiñ DhūñDhnā chāhtā huuñ
tirī chaah kā chaah kahte haiñ jis ko
usī chaah meñ Dūbnā chāhtā huuñ
mujhe 'nūr' hai dard-e-dil kī tamanna
magar dard bhī lā-davā chāhtā huuñ
main kya chahta hun main kya chahta hun
har ek chiz ko bhulna chahta hun
meri chah ko dekh kya chahta hun
qasam chahta hun jafa chahta hun
mohabbat mein teri miTa chahta hun
fana ho ke lutf-e-baqa chahta hun
wahi pyari pyari adaen tumhaari
main ek bar phir dekhna chahta hun
madad al-madad be-KHudi-e-mohabbat
main apne tain DhunDhna chahta hun
teri chah ka chah kahte hain jis ko
usi chah mein Dubna chahta hun
mujhe 'nur' hai dard-e-dil ki tamanna
magar dard bhi la-dawa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.