meri Diary
dil ke jazboñ se mulāqāteñ kiyā kartī hai
Diary mujh se bahut bāteñ kiyā kartī hai
lams jazbāt kā ehsās kī tāsīroñ kā
intizār us ko rahā kartā hai tahrīroñ kā
un se maiñ dil kī kahūñ baat kahā karte haiñ
kuchh likhūñ un pe ye safhāt kahā karte haiñ
Diary kahtī hai kuchh kaam banāne haiñ mire
tujh ko jazbāt se aurāq sajāne haiñ mire
vaqt is moḌ pe ham donoñ ko laatā hai kabhī
bhuul jaatā hai to ye vaqt bhī aatā hai kabhī
tū nahīñ hotā to kyā hotā hai batlātī huuñ
apnī sochoñ se ulajhtī hī chalī jaatī huuñ
jab tū uThtā hai kisī baat ko likhne ke liye
apnī yādoñ ko ḳhayālāt ko likhne ke liye
dil-nashīñ shauq ke paikar meñ Dhalī jaatī huuñ
pur-sukūñ niiñd kī vaadī meñ chalī jaatī huuñ
vaqt kab Thahrā hai vo vaqt bhī aa jā.egā
chhoḌ ke mujh ko yahāñ tū bhī chalā jā.egā
kal tire baa'd milegī koī izzat mujh ko
ye ḳhayāl aate hī detā hai aziyyat mujh ko
log rakkheñge aham kitnā mujhe tere baa'd
kaun chāhegā bhalā itnā mujhe tere baa'd
dil ke jazbon se mulaqaten kiya karti hai
Diary mujh se bahut baaten kiya karti hai
lams jazbaat ka ehsas ki tasiron ka
intizar us ko raha karta hai tahriron ka
un se main dil ki kahun baat kaha karte hain
kuchh likhun un pe ye safhat kaha karte hain
Diary kahti hai kuchh kaam banane hain mere
tujh ko jazbaat se auraq sajaane hain mere
waqt is moD pe hum donon ko lata hai kabhi
bhul jata hai to ye waqt bhi aata hai kabhi
tu nahin hota to kya hota hai batlati hun
apni sochon se ulajhti hi chali jati hun
jab tu uThta hai kisi baat ko likhne ke liye
apni yaadon ko KHayalat ko likhne ke liye
dil-nashin shauq ke paikar mein Dhali jati hun
pur-sukun nind ki wadi mein chali jati hun
waqt kab Thahra hai wo waqt bhi aa jaega
chhoD ke mujh ko yahan tu bhi chala jaega
kal tere ba'd milegi koi izzat mujh ko
ye KHayal aate hi deta hai aziyyat mujh ko
log rakkhenge aham kitna mujhe tere ba'd
kaun chahega bhala itna mujhe tere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.