meri Diary
merī purānī bosīda diary ke pannoñ par kuchh purānī yādoñ ke saa.e haiñ
kuchh purānī ġhazleñ haiñ
kuchh adhūrī nazmeñ haiñ
sochtī huuñ un nazmoñ ko mukammal kar luuñ
phir sochtī huuñ ye nazmeñ to merī mohabbat se vābasta haiñ
aur mohabbat tum bin adhūrī hai
batāo tum hī kaise in nazmoñ ko kam karūñ
kaise vo an-kahī ġhazleñ
sunā.ūñ tumheñ ki jin meñ
taḌap rahī hai mohabbat
machal rahī hai ulfat
terī justujū
terī talāsh jaarī hai
zindagī mujh pe bhārī hai
sochtī huuñ kahāñ jā ke panāh luuñ
vādī-e-mohabbat meñ yā apnī adhūrī nazmoñ meñ
meri purani bosida diary ke pannon par kuchh purani yaadon ke sae hain
kuchh purani ghazlen hain
kuchh adhuri nazmen hain
sochti hun un nazmon ko mukammal kar lun
phir sochti hun ye nazmen to meri mohabbat se wabasta hain
aur mohabbat tum bin adhuri hai
batao tum hi kaise in nazmon ko kam karun
kaise wo an-kahi ghazlen
sunaun tumhein ki jin mein
taDap rahi hai mohabbat
machal rahi hai ulfat
teri justuju
teri talash jari hai
zindagi mujh pe bhaari hai
sochti hun kahan ja ke panah lun
wadi-e-mohabbat mein ya apni adhuri nazmon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.