meri dost
Interesting Fact
Vol. 234, February 2000
merī ek dost
ham-dam aur hamrāz
us kī gahrī udaas āñkheñ
surūd ke suroñ jaisī
bargad kī chhāloñ jaise baal
hoñToñ par an-kahā pyaar
lams meñ jāñ-gudāz narmī
us kī ḳhāmoshī meñ
āḳhirī-dam tak
merī ham-safarī kā va.ada hai
yaas naam hai us kā
meri ek dost
ham-dam aur hamraaz
us ki gahri udas aankhen
surud ke suron jaisi
bargad ki chhaalon jaise baal
honTon par an-kaha pyar
lams mein jaan-gudaz narmi
us ki KHamoshi mein
aaKHiri-dam tak
meri ham-safari ka wada hai
yas nam hai us ka
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1971)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.