meri dua
gulshan kā taqāzā hai ki mai-ḳhāna banā de
mai-ḳhāna meñ ik mahfil-e-rindāna banā de
mai-kash koī mai pī ke mujhe degā duā.eñ
ai sāqī-e-fitrat mujhe paimāna banā de
āshiq huuñ mujhe aql muāfiq nahīñ aatī
behtar to yahī hai mujhe dīvāna banā de
ulfat mirā sarmāya-e-hastī ho ḳhudāyā
furqat ko miTā kar use afsāna banā de
maiñ soḳhta-jāñ soz-e-mohabbat kā tamāshā
duniyā ko dikhā duuñ mujhe parvāna banā de
but-gar bhī tū ḳhud but bhī tū but-ḳhāna bhī tū hai
but ban ke mire siina ko but-ḳhāna banā de
gar nazar-e-ināyat ho 'purī' par to duā hai
duniyā kī havas se ise begāna banā de
gulshan ka taqaza hai ki mai-KHana bana de
mai-KHana mein ek mahfil-e-rindana bana de
mai-kash koi mai pi ke mujhe dega duaen
ai saqi-e-fitrat mujhe paimana bana de
aashiq hun mujhe aql muafiq nahin aati
behtar to yahi hai mujhe diwana bana de
ulfat mera sarmaya-e-hasti ho KHudaya
furqat ko miTa kar use afsana bana de
main soKHta-jaan soz-e-mohabbat ka tamasha
duniya ko dikha dun mujhe parwana bana de
but-gar bhi tu KHud but bhi tu but-KHana bhi tu hai
but ban ke mere sina ko but-KHana bana de
gar nazar-e-inayat ho 'puri' par to dua hai
duniya ki hawas se ise begana bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.