meri ek buri aadat thi
merī ek burī aadat thī
tū merī aadat ke hāthoñ kaisī zich aur kitnī diq thī
jab hairat kī uñglī thāme tere saath chalā kartā thā
ik shīrīñ muskān kī beleñ mere tan buuTe ke uupar istehqāq se chaḌhtī thiiñ
aur ik lams kā gaatā paanī nas nas diip jalātā thā
lams ke jugnū aur muskān kī titlī mere khilaune the
in donoñ kī duurī sahnā jiine jaisā mushkil thā
in ko pallū meñ bāñdhe tū jab bhī duur kahīñ jaatī thī
maiñ visvās kī Dor se lipTā pīchhe pīchhe aa jaatā thā
sab logoñ se, har raste se terā pata pūchhā kartā thā
ab hairat kī uñglī thāme tū ik aise des ga.ī hai
jis ke sab bāzār aur galiyāñ, saare ghar aur sab chaubāre
gahrī dhund meñ sar-basta haiñ, guzre kal se paivasta haiñ
maiñ is dhund ke chaurāhe par nam ā.ankhoñ ko poñchh rahā huuñ
rote rote soch rahā huuñ
kis ko rokūñ kis se pūchhūñ kyā merī maañ ko dekhā hai?
is raste se ho ke ga.ī thī
apnī ek burī aadat se kaisā zich aur kitnā diq huuñ
meri ek buri aadat thi
tu meri aadat ke hathon kaisi zich aur kitni diq thi
jab hairat ki ungli thame tere sath chala karta tha
ek shirin muskan ki belen mere tan buTe ke upar istehqaq se chaDhti thin
aur ek lams ka gata pani nas nas dip jalata tha
lams ke jugnu aur muskan ki titli mere khilaune the
in donon ki duri sahna jine jaisa mushkil tha
in ko pallu mein bandhe tu jab bhi dur kahin jati thi
main wiswas ki Dor se lipTa pichhe pichhe aa jata tha
sab logon se, har raste se tera pata puchha karta tha
ab hairat ki ungli thame tu ek aise des gai hai
jis ke sab bazar aur galiyan, sare ghar aur sab chaubare
gahri dhund mein sar-basta hain, guzre kal se paiwasta hain
main is dhund ke chaurahe par nam aaankhon ko ponchh raha hun
rote rote soch raha hun
kis ko rokun kis se puchhun kya meri man ko dekha hai?
is raste se ho ke gai thi
apni ek buri aadat se kaisa zich aur kitna diq hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.