meri hi koi baat
bāhar ek āvāz hai
tamām āvāzoñ se muḳhtalif
fazā kī murda shiryānoñ meñ
ek taaza sachchā.ī bhar dene vaalī āvāz
be-his makānoñ mañDlātī huī
mere darvāze par dastak detī huī
kabhī maddham kabhī tez
ek bechain dastak
mujh se kuchh kahnā chāhtī hai
mujh tak pahuñchānā chāhtī hai
thoḌe hī fāsle par khaḌe ek mausam kī baat
shāyad merī hī koī baat
lekin maiñ darvāze tak kaise jā.ūñ
use kaise kholūñ
bāhar khaḌe mausam ko andar kaise lā.ūñ
maiñ to arsa huā
apne haath paañv
ba-taur-e-zamānat rakh chukā huuñ
kis jurm meñ
kis ke paas rakh chukā huuñ
bilkul bhuul chukā huuñ
bahar ek aawaz hai
tamam aawazon se muKHtalif
faza ki murda shiryanon mein
ek taza sachchai bhar dene wali aawaz
be-his makanon manDlati hui
mere darwaze par dastak deti hui
kabhi maddham kabhi tez
ek bechain dastak
mujh se kuchh kahna chahti hai
mujh tak pahunchana chahti hai
thoDe hi fasle par khaDe ek mausam ki baat
shayad meri hi koi baat
lekin main darwaze tak kaise jaun
use kaise kholun
bahar khaDe mausam ko andar kaise laun
main to arsa hua
apne hath panw
ba-taur-e-zamanat rakh chuka hun
kis jurm mein
kis ke pas rakh chuka hun
bilkul bhul chuka hun
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 333)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.