meri KHak
ḳhaak ko ḳhaak karnā zarūrī hai gar
aisī miTTī meñ mujh ko milā kūza-gar
jis se bachche kā koī khilaunā bane
nanhe hoñToñ pe jis se hañsī saj sake
yā mujhe rakh kisī chaak pe is tarah
merī miTTī milā kar bane ik diyā
jo añdhere gharoñ meñ ujālā kare
aur diye se diyā roz jaltā rahe
yuuñ diyā raushnī chaak baaqī rahe
ḳhaak ho kar mirī ḳhaak baaqī rahe
KHak ko KHak karna zaruri hai gar
aisi miTTi mein mujh ko mila kuza-gar
jis se bachche ka koi khilauna bane
nanhe honTon pe jis se hansi saj sake
ya mujhe rakh kisi chaak pe is tarah
meri miTTi mila kar bane ek diya
jo andhere gharon mein ujala kare
aur diye se diya roz jalta rahe
yun diya raushni chaak baqi rahe
KHak ho kar meri KHak baqi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.