Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nani achchhi nani

Ataur Rahman Tariq

meri nani achchhi nani

Ataur Rahman Tariq

MORE BYAtaur Rahman Tariq

    merī naanī achchhī naanī mujh par vaarī jaatī thī

    mere laal ko aave nindiyā haule-haule gaatī thī

    raat ga.e tak pañkhā jhaltī lorī mujhe sunātī thī

    merī naanī achchhī naanī mujh par vaarī jaatī thī

    haath pakaḌ kar piyāñ-piyāñ chalnā mujhe sikhātī thī

    kis-kis chaav se mujhe khilātī kyā-kyā naaz uThātī thī

    merī naanī achchhī naanī mujh par vaarī jaatī thī

    baḌe maze baat to ye hai yaad use kam rahtā thā

    paan agar vo lene jaatī peppermint le aatī thī

    merī naanī achchhī naanī mujh par vaarī jaatī thī

    is duniyā meñ jo aayā hai us ko lauT ke jaanā hai

    shāyad jannat ke bāġhoñ ḳhushbū use lubhātī thī

    merī naanī achchhī naanī mujh par vaarī jaatī thī

    meri nani achchhi nani mujh par wari jati thi

    mere lal ko aawe nindiya haule-haule gati thi

    raat gae tak pankha jhalti lori mujhe sunati thi

    meri nani achchhi nani mujh par wari jati thi

    hath pakaD kar piyan-piyan chalna mujhe sikhati thi

    kis-kis chaw se mujhe khilati kya-kya naz uThati thi

    meri nani achchhi nani mujh par wari jati thi

    baDe maze ki baat to ye hai yaad use kam rahta tha

    pan agar wo lene jati peppermint le aati thi

    meri nani achchhi nani mujh par wari jati thi

    is duniya mein jo aaya hai us ko lauT ke jaana hai

    shayad jannat ke baghon ki KHushbu use lubhati thi

    meri nani achchhi nani mujh par wari jati thi

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now