meri nazmen
ham jo nā-ma.alūm azal aur
lā-mutanāhī abad ke biich meñ hote haiñ
ham jo guzarne vaale haiñ
ham ko baaqī rah jaane kī fikr bhī kyoñ lāhaq rahtī hai
log bhulā deñge is Dar se
merī bhī kuchh nazmeñ haiñ qirtās pe jo tahrīr huiiñ
lekin ye bhī jāntī huuñ maiñ
merī qabr ke katbe par bhī shāyad
merā naam na hogā
hum jo na-malum azal aur
la-mutanahi abad ke bich mein hote hain
hum jo guzarne wale hain
hum ko baqi rah jaane ki fikr bhi kyon lahaq rahti hai
log bhula denge is Dar se
meri bhi kuchh nazmen hain qirtas pe jo tahrir huin
lekin ye bhi jaanti hun main
meri qabr ke katbe par bhi shayad
mera nam na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.