meri nind se tumhaare sapnon tak
maiñ ne dekhā
bhīkh māñgne vaale bachche
apne hī svāñg par
jab hañsī-ThaTThā karte haiñ
to bhīkh dene vaalā apne ko Thagā huā mahsūs kartā hai
aur dutkārne vaalā apnī kurūrtā par pachhtātā hai
āḳhir ye phaile hue haath
merī niiñd se nikal kar
tumhāre sapnoñ tak kyoñ nahīñ aate
kahīñ aisā na ho
ki aas ummīd par jiine vaale
ḳhvāb kā dar band kar leñ
main ne dekha
bhikh mangne wale bachche
apne hi swang par
jab hansi-ThaTTha karte hain
to bhikh dene wala apne ko Thaga hua mahsus karta hai
aur dutkarne wala apni kururta par pachhtata hai
aaKHir ye phaile hue hath
meri nind se nikal kar
tumhaare sapnon tak kyon nahin aate
kahin aisa na ho
ki aas ummid par jine wale
KHwab ka dar band kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.