meri piTai
'rūbī' kā halva kis ne churāyā
ammī ne pūchhā abbū ne pūchhā
daadī ye bolīñ 'rūbī' kā halva
dekhā thā maiñ ne mez pe rakkhā
āḳhir aa.ī merī hī shāmat
rozī ne mujh ko khāte thā dekhā
abbū ne kar dī merī piTā.ī
chūne meñ katthā kis ne milāyā
daadī ne pūchhā ammī se jā kar
daadā ye bole uf merī ainak
kis ne uThā.ī rakh dī kahāñ par
āḳhir aa.ī merī hī shāmat
ainak jo TuuTī phūTā muqaddar
ammī ne kar dī merī piTā.ī
juute kī polish Dibiya bharī thī
lekin hai us meñ kaisī ye Dorī
bhābhī ne pūchhā polish huī kyā
'rūbī' ne batlā dī merī ye chorī
āḳhir aa.ī merī hī shāmat
zaa.e.a huī sab sīna-zorī
bhayyā ne kar dī merī piTā.ī
phāḌī ye kis ne ruufī kī copy
teacher ne pūchhā maktab meñ sab se
sab ne nahīñ kī lekin maiñ chup thā
kuchh bhī na bolā pās-e-adab se
is pe bhī aa.ī merī hī shāmat
bach na sakā maiñ josh-e-ġhazab se
teacher ne kar dī merī piTā.ī
kaaT dī kis ne geñd rubber kī
achchhī nahīñ hai aisī sharārat
baiThe hue haiñ saare khilāḌī
pahuñchī hai sab ke dil ko aziyyat
chāqū jo niklā jeb se merī
aa ga.ī phir merī hī shāmat
yāroñ ne kar dī merī piTā.ī
'rubi' ka halwa kis ne churaya
ammi ne puchha abbu ne puchha
dadi ye bolin 'rubi' ka halwa
dekha tha main ne mez pe rakkha
aaKHir aai meri hi shamat
rozi ne mujh ko khate tha dekha
abbu ne kar di meri piTai
chune mein kattha kis ne milaya
dadi ne puchha ammi se ja kar
dada ye bole uf meri ainak
kis ne uThai rakh di kahan par
aaKHir aai meri hi shamat
ainak jo TuTi phuTa muqaddar
ammi ne kar di meri piTai
jute ki polish Dibiya bhari thi
lekin hai us mein kaisi ye Dori
bhabhi ne puchha polish hui kya
'rubi' ne batla di meri ye chori
aaKHir aai meri hi shamat
zaea hui sab sina-zori
bhayya ne kar di meri piTai
phaDi ye kis ne rufi ki copy
teacher ne puchha maktab mein sab se
sab ne nahin ki lekin main chup tha
kuchh bhi na bola pas-e-adab se
is pe bhi aai meri hi shamat
bach na saka main josh-e-ghazab se
teacher ne kar di meri piTai
kaT di kis ne gend rubber ki
achchhi nahin hai aisi shararat
baiThe hue hain sare khilaDi
pahunchi hai sab ke dil ko aziyyat
chaqu jo nikla jeb se meri
aa gai phir meri hi shamat
yaron ne kar di meri piTai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.