meri shaeri
mirī shā.erī hai nazāroñ kī duniyā
ye naġhma-sarā joibāroñ kī duniyā
ye hañgāma-zār ābshāroñ kī duniyā
falak-āshnā kohsāroñ kī duniyā
ye phūloñ kī bastī bahāroñ kī duniyā
yahī hai mire shah-kāroñ kī duniyā
mirī shā.erī hai nazāroñ kī duniyā
mirī shā.erī chāñd tāroñ kī duniyā
ye rañgīñ gharauñdā tilism-e-zamāna
khilaunoñ kā hai ik baḌā kārḳhāna
havā bāñdhnā aur ġhubāre banānā
ġhubāre banā kar fazā meñ uḌānā
mire sher kā sho.abada hai purānā
mirī shā.erī chāñd tāroñ kī duniyā
mirī shā.erī baḳht-yāroñ kī duniyā
falak shāmiyāna hai parbat qanāteñ
isī oT meñ dīda-o-dil kī ghāteñ
hujūm-e-tamannā ḳhushī kī barāteñ
javānī ke din kāmrānī kī rāteñ
mire sher kī ye bhī haiñ vārdāteñ
mirī shā.erī baḳht-yāroñ kī duniyā
mirī shā.erī ḳhār-zāroñ kī duniyā
tahī-dastī o pastī o ḳhasta-hālī
bagūloñ se ma.amūr phūloñ se ḳhālī
vo besha ki hai mazra-e-ḳhushk-sālī
jahāñ abr bhūlā hai dariyā-navālī
na bhūlī use bhī mirī fikr-e-ālī
mirī shā.erī ḳhārzāroñ kī duniyā
mirī shā.erī shahsavāroñ kī duniyā
bahādur jarī sūrmā aur jiyāle
qazā jin kī Dhāleñ qadar jin ke bhāle
tahavvur ke ghoḌoñ kī bāgeñ sambhāle
chale haiñ sū-e-razm-gah azm vaale
mire sher haiñ ġhāziyoñ ke risāle
mirī shā.erī shahsavāroñ kī duniyā
mirī shā.erī dil-figāroñ kī duniyā
ye fariyād-e-ḳhāmosh nīchī nigāheñ
ye armāñ ki masdūd haiñ jin kī rāheñ
fareb-e-vafā se kahāñ tak nibāheñ
mire dīda-o-dil haiñ in kī panāheñ
mire sher aañsū mire sher aa.heñ
mirī shā.erī dil-figāroñ kī duniyā
mirī shā.erī be-qarāroñ kī duniyā
vo zarra ki rāh-e-sukūñ meñ muḳhil hai
vo qatra ki sad-ātish-e-mushta.il hai
vo diida ki bedārī-e-mustaqil hai
vo dil jis se dil garmī-e-āb-o-gil hai
mire sher meñ bhī vahī ek dil hai
mirī shā.erī be-qarāroñ kī duniyā
mirī shā.erī ḳhāksāroñ kī duniyā
baserā ḳhas-o-ḳhār-o-ḳhāshāk par hai
magar haath har ḳhosha-e-tāk par hai
agarche sar-e-be-ḳhudī ḳhaak par hai
dimāġh-e-ḳhudī auj-e-aflāk par hai
mire sher kī aañkh idrāk par hai
mirī shā.erī ḳhāksāroñ kī duniyā
mirī shā.erī bāda-ḳhvāroñ kī duniyā
chale jām-e-jam bhī jame bazm-e-mai bhī
magar sāqiyā dekh ik aur shai bhī
ye fariyād merī ki hai jis meñ lai bhī
ye naala mirā jo hai pāband-e-nai bhī
mirā sher shīsha bhī nashsha bhī mai bhī
mirī shā.erī bāda-ḳhvāroñ kī duniyā
mirī shā.erī dost-dāroñ kī duniyā
ye duniyā jahāñ se alag ik jahāñ hai
ye dil-navāzī kā sikka ravāñ hai
yahāñ āsmāñ hai magar mehrbāñ hai
na jaane adāvat kī duniyā kahāñ hai
mirā sher iḳhlās kā tarjumāñ hai
marī shā.erī dost-dāroñ kī duniyā
mirī shā.erī ġhamgusāroñ kī duniyā
falak mahr-parvar zamīñ mah-jabīñ hai
na vo sard-mehr aur na ye garm-kīñ hai
falak bhī hasīñ hai zamīñ bhī hasīñ hai
vo nūr-āfrīñ ye zuhūr-āfrīñ hai
mire aa.ine meñ kudūrat nahīñ hai
mirī shā.erī ġhamgusāroñ kī duniyā
mirī shā.erī mere pyāroñ kī duniyā
vo pyāre ki sū-e-adam jā chuke haiñ
vo kaliyāñ vo ġhunche jo murjhā chuke haiñ
tarāne jo ārām farmā chuke haiñ
ḳhazāne jinheñ log dafnā chuke haiñ
mire sher meñ zindagī pā chuke haiñ
mirī shā.erī mere pyāroñ kī duniyā
mirī shā.erī intizāroñ kī duniyā
kabhī maiñ bhī ho jā.ūñ āzād shāyad
asīrī kī ghaT jaa.e mī.ād shāyad
sunī jaa.e ik roz fariyād shāyad
vo bhūle se kar le mujhe yaad shāyad
vahāñ kaam aa.e ye rūdād shāyad
mirī shā.erī intizāroñ kī duniyā
mirī shā.erī hai ishāroñ kī duniyā
falak par haiñ gardish meñ chāñd aur taare
zamīñ par bahār-o-ḳhizāñ ke nazāre
barābar chale jā rahe haiñ bichāre
ki zauq-e-nazar de rahā hai sahāre
magar kaun samjhe ye nāzuk ishāre
mirī shā.erī hai ishāroñ kī duniyā
meri shaeri hai nazaron ki duniya
ye naghma-sara joibaron ki duniya
ye hangama-zar aabshaaron ki duniya
falak-ashna kohsaron ki duniya
ye phulon ki basti bahaaron ki duniya
yahi hai mere shah-karon ki duniya
meri shaeri hai nazaron ki duniya
meri shaeri chand taron ki duniya
ye rangin gharaunda tilism-e-zamana
khilaunon ka hai ek baDa karKHana
hawa bandhna aur ghubare banana
ghubare bana kar faza mein uDana
mere sher ka shoabada hai purana
meri shaeri chand taron ki duniya
meri shaeri baKHt-yaron ki duniya
falak shamiyana hai parbat qanaten
isi oT mein dida-o-dil ki ghaten
hujum-e-tamanna KHushi ki baraaten
jawani ke din kaamrani ki raaten
mere sher ki ye bhi hain wardaten
meri shaeri baKHt-yaron ki duniya
meri shaeri KHar-zaron ki duniya
tahi-dasti o pasti o KHasta-haali
bagulon se mamur phulon se KHali
wo besha ki hai mazra-e-KHushk-sali
jahan abr bhula hai dariya-nawali
na bhuli use bhi meri fikr-e-ali
meri shaeri KHarzaron ki duniya
meri shaeri shahsawaron ki duniya
bahadur jari surma aur jiyale
qaza jin ki Dhaalen qadar jin ke bhaale
tahawwur ke ghoDon ki bagen sambhaale
chale hain su-e-razm-gah azm wale
mere sher hain ghaziyon ke risale
meri shaeri shahsawaron ki duniya
meri shaeri dil-figaron ki duniya
ye fariyaad-e-KHamosh nichi nigahen
ye arman ki masdud hain jin ki rahen
fareb-e-wafa se kahan tak nibahen
mere dida-o-dil hain in ki panahen
mere sher aansu mere sher aahen
meri shaeri dil-figaron ki duniya
meri shaeri be-qararon ki duniya
wo zarra ki rah-e-sukun mein muKHil hai
wo qatra ki sad-atish-e-mushtail hai
wo dida ki bedari-e-mustaqil hai
wo dil jis se dil garmi-e-ab-o-gil hai
mere sher mein bhi wahi ek dil hai
meri shaeri be-qararon ki duniya
meri shaeri KHaksaron ki duniya
basera KHas-o-KHar-o-KHashak par hai
magar hath har KHosha-e-tak par hai
agarche sar-e-be-KHudi KHak par hai
dimagh-e-KHudi auj-e-aflak par hai
mere sher ki aankh idrak par hai
meri shaeri KHaksaron ki duniya
meri shaeri baada-KHwaron ki duniya
chale jam-e-jam bhi jame bazm-e-mai bhi
magar saqiya dekh ek aur shai bhi
ye fariyaad meri ki hai jis mein lai bhi
ye nala mera jo hai paband-e-nai bhi
mera sher shisha bhi nashsha bhi mai bhi
meri shaeri baada-KHwaron ki duniya
meri shaeri dost-daron ki duniya
ye duniya jahan se alag ek jahan hai
ye dil-nawazi ka sikka rawan hai
yahan aasman hai magar mehrban hai
na jaane adawat ki duniya kahan hai
mera sher iKHlas ka tarjuman hai
mari shaeri dost-daron ki duniya
meri shaeri ghamgusaron ki duniya
falak mahr-parwar zamin mah-jabin hai
na wo sard-mehr aur na ye garm-kin hai
falak bhi hasin hai zamin bhi hasin hai
wo nur-afrin ye zuhur-afrin hai
mere aaine mein kudurat nahin hai
meri shaeri ghamgusaron ki duniya
meri shaeri mere pyaron ki duniya
wo pyare ki su-e-adam ja chuke hain
wo kaliyan wo ghunche jo murjha chuke hain
tarane jo aaram farma chuke hain
KHazane jinhen log dafna chuke hain
mere sher mein zindagi pa chuke hain
meri shaeri mere pyaron ki duniya
meri shaeri intizaron ki duniya
kabhi main bhi ho jaun aazad shayad
asiri ki ghaT jae miad shayad
suni jae ek roz fariyaad shayad
wo bhule se kar le mujhe yaad shayad
wahan kaam aae ye rudad shayad
meri shaeri intizaron ki duniya
meri shaeri hai ishaaron ki duniya
falak par hain gardish mein chand aur tare
zamin par bahaar-o-KHizan ke nazare
barabar chale ja rahe hain bichaare
ki zauq-e-nazar de raha hai sahaare
magar kaun samjhe ye nazuk ishaare
meri shaeri hai ishaaron ki duniya
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 560)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.