Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri shairi

Shahab Akhtar

meri shairi

Shahab Akhtar

MORE BYShahab Akhtar

    ek daf.a

    jab rāshan ḳhatm huā thā to

    raddī nikālī thī ghar se

    ki bech aa.eñ

    hans ke kahā thā tum ne tab

    kaho

    tumhārī nazmeñ bhī

    kyā Daal duuñ in meñ

    in se vazan baḌh jā.egā

    maiñ ne kahā thā

    kal jo vaqt karegā

    vo mat aaj karo

    āñkheñ tumhārī bhar aa.iiñ huī

    aur

    tum ne kahā thā

    maiñ to kahā

    vo vaqt bhī na kar pā.egā

    ek dafa

    jab rashan KHatm hua tha to

    raddi nikali thi ghar se

    ki bech aaen

    hans ke kaha tha tum ne tab

    kaho

    tumhaari nazmen bhi

    kya Dal dun in mein

    in se wazan baDh jaega

    main ne kaha tha

    kal jo waqt karega

    wo mat aaj karo

    aankhen tumhaari bhar aain hui

    aur

    tum ne kaha tha

    main to kaha

    wo waqt bhi na kar paega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now