meri talash mat karo
mirī talāsh mat karo na mujh ko pā sakoge tum
jahāñ pahuñch gayā huuñ maiñ vahāñ na aa sakoge tum
tumhāre jism o jaañ dil o nazar meñ huuñ
tumhāre saath saath zindagī ke
har safar meñ huuñ
tum apne aap se abhī nahīñ ho rū-shanās
taaki dekhte mujhe ḳhud apne aap meñ kabhī
magar tum apne aap ko na dekh pāoge abhī
abhī na apne aap se nazar milā sakoge tum
mirī talāsh mat karo
na mujh ko pā sakoge tum
jahāñ pahuñch gayā huuñ maiñ
vahāñ na aa sakoge tum
raushnī ke sehr-kār dā.ere
banā rahā huuñ zarra-e-haqīr se
jo sākinān-e-arsh ko muhīt meñ liye hue
zamīñ kī samt haiñ ravāñ
raushnī meñ gum huuñ maiñ
raushnī mirī numūd
nazāra-e-tajallī-e-hayāt huuñ
taab kis nazar meñ hai
tajalli-e-hayāt kī na taab lā sakoge tum
mirī talāsh mat karo na mujh ko pā sakoge tum
ba.īd-az-qayās
mā-varā-e-fikr-o-āgahī
tamām kā.enāt kī hadoñ se paar zindagī
dānish o ḳhirad kī be-shumār manzileñ
be-shumār manzileñ milīñ
fazā-e-be-zamāñ o be-makāñ kī justujū meñ gum
ta.ayyun aur maqām kā asiir
meñ kabhī na thā kabhī nahīñ
agar ta.ayyunāt se pare na jā sakoge tum
mirī talāsh mat karo na mujh ko pā sakoge tum
mirī talāsh mat karo na mujh ko pā sakoge tum
shabīh-e-rañg-rūp
in quyūd se barī huuñ maiñ
ḳhayāl-e-zāt aur tasavvur-e-vajūd se buland huuñ
batāo in bulandiyoñ tak aaj aa sakoge tum
ḳhud apne aap se kabhī nazar milā sakoge tum
mirī talāsh mat karo mujhe na pā sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main wahan na aa sakoge tum
tumhaare jism o jaan dil o nazar mein hun
tumhaare sath sath zindagi ke
har safar mein hun
tum apne aap se abhi nahin ho ru-shanas
taki dekhte mujhe KHud apne aap mein kabhi
magar tum apne aap ko na dekh paoge abhi
abhi na apne aap se nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo
na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main
wahan na aa sakoge tum
raushni ke sehr-kar daere
bana raha hun zarra-e-haqir se
jo sakinan-e-arsh ko muhit mein liye hue
zamin ki samt hain rawan
raushni mein gum hun main
raushni meri numud
nazara-e-tajalli-e-hayat hun
tab kis nazar mein hai
tajalli-e-hayat ki na tab la sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
baid-az-qayas
ma-wara-e-fikr-o-agahi
tamam kaenat ki hadon se par zindagi
danish o KHirad ki be-shumar manzilen
be-shumar manzilen milin
faza-e-be-zaman o be-makan ki justuju mein gum
tayyun aur maqam ka asir
mein kabhi na tha kabhi nahin
agar tayyunat se pare na ja sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
shabih-e-rang-rup
in quyud se bari hun main
KHayal-e-zat aur tasawwur-e-wajud se buland hun
batao in bulandiyon tak aaj aa sakoge tum
KHud apne aap se kabhi nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo mujhe na pa sakoge tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.