meri talwar hai ye mera qalam
ek nazm ek ġhazal
uljhā uljhā sā koī
sher kaheñ
ek afsāna kahānī
yā koī ek kitāb
koī tasvīr
koī ḳhāka
koī ek ḳhayāl
dil ke ek kone meñ kahīñ
kaliyoñ ke chaTakne kī sadā
sub.h-dam is meñ bhīge hue
phūloñ kī mahak
duur dhuñdhlā.e hue
rangoñ ke parde se pare
Dūbte aur ubharte hue
naġhmoñ kī sadā
gahrī āñkhoñ meñ kahīñ
aañsū chhalakne se bhī pahle kā samāñ
gar kabhī aise hī
kuchh narm se jazbāt ko
alfāz kā pairāhan duuñ
hathkaḌī haath meñ paḌ jaatī hai
aur kāġhaz pe kisī
parda-e-sīmīñ kī tarah
ek ek kar ke
ubharte haiñ
hazāroñ chehre
bain karte hue
be-asar gumnām savāl
pūchhte haiñ ke ye insāf
lahū meñ kab tak
terī talvār hai ye terā qalam
aur phir dil ke kisī kone se
aatī hai sadā
kitne hī haath haiñ jo
narm se jazbāt raqam karte haiñ
ye qalam tesha o talvār hai
in hāthoñ meñ
amn-o-insāf kī
be-bāk tamannā ke liye
phir se ek baar use vaqf karo
ek nazm ek ghazal
uljha uljha sa koi
sher kahen
ek afsana kahani
ya koi ek kitab
koi taswir
koi KHaka
koi ek KHayal
dil ke ek kone mein kahin
kaliyon ke chaTakne ki sada
subh-dam is mein bhige hue
phulon ki mahak
dur dhundhlae hue
rangon ke parde se pare
Dubte aur ubharte hue
naghmon ki sada
gahri aankhon mein kahin
aansu chhalakne se bhi pahle ka saman
gar kabhi aise hi
kuchh narm se jazbaat ko
alfaz ka pairahan dun
hathkaDi hath mein paD jati hai
aur kaghaz pe kisi
parda-e-simin ki tarah
ek ek kar ke
ubharte hain
hazaron chehre
bain karte hue
be-asar gumnam sawal
puchhte hain ke ye insaf
lahu mein kab tak
teri talwar hai ye tera qalam
aur phir dil ke kisi kone se
aati hai sada
kitne hi hath hain jo
narm se jazbaat raqam karte hain
ye qalam tesha o talwar hai
in hathon mein
amn-o-insaf ki
be-bak tamanna ke liye
phir se ek bar use waqf karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.