meri taswir
mirī tasvīr le kar kyā karoge
mirī tasvīr ik ḳhvāb-e-pareshāñ
chhupe haiñ is meñ lākhoñ ġham ke tūfāñ
mirī tasvīr le kar kyā karoge
mirī tasvīr hai māyūs-o-muztar
merī tasvīr ranj-o-ġham kā paikar
ye ik din baar ho jā.egī tum par
mirī tasvīr le kar kyā karoge
mirī tasvīr meñ kab zindagī hai
sarāpā ġham sarāpā bekasī hai
jabīñ raushan na hoñToñ par hañsī hai
mirī tasvīr le kar kyā karoge
mirī tasvīr hai kuchh dhundlī dhundlī
mirī tasvīr hai ashkoñ se bhīgī
mirī tasvīr hai khoī huī sī
mirī tasvīr le kar kyā karoge
na phir hāthoñ meñ yuuñ loge tum us ko
na apne paas rakkhoge tum us ko
uThā kar pheñk hī doge tum us ko
mirī tasvīr le kar kyā karoge
meri taswir le kar kya karoge
meri taswir ek KHwab-e-pareshan
chhupe hain is mein lakhon gham ke tufan
meri taswir le kar kya karoge
meri taswir hai mayus-o-muztar
meri taswir ranj-o-gham ka paikar
ye ek din bar ho jaegi tum par
meri taswir le kar kya karoge
meri taswir mein kab zindagi hai
sarapa gham sarapa bekasi hai
jabin raushan na honTon par hansi hai
meri taswir le kar kya karoge
meri taswir hai kuchh dhundli dhundli
meri taswir hai ashkon se bhigi
meri taswir hai khoi hui si
meri taswir le kar kya karoge
na phir hathon mein yun loge tum us ko
na apne pas rakkhoge tum us ko
uTha kar phenk hi doge tum us ko
meri taswir le kar kya karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.