meri udas aankhen
har sū
dhuñd kā pahra hai
raat ḳhāmosh hai
maTmailī chāñdnī
utar aa.ī hai mere āñgan meñ
hāthoñ meñ
yādoñ ke charāġh liye
kholtī huuñ khiḌkiyoñ darvāzoñ ko
aaj ḳhūbsūrat lag rahī haiñ
merī udaas āñkheñ
dukh ke ā.īne meñ
aaj
maiñ ne dekhā hai apnā chehra
aaj maiñ koī giit
gungunānā chāhtī huuñ
har su
dhund ka pahra hai
raat KHamosh hai
maTmaili chandni
utar aai hai mere aangan mein
hathon mein
yaadon ke charagh liye
kholti hun khiDkiyon darwazon ko
aaj KHubsurat lag rahi hain
meri udas aankhen
dukh ke aaine mein
aaj
main ne dekha hai apna chehra
aaj main koi git
gungunana chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.