meri umr mein bahut se waqt nahin aae
vaqt ki jis meñ us se pyaar kī bāteñ karnī thiiñ
vaqt ki jis meñ us ke jism se sāñseñ bharnī thiiñ
vaqt ki jis meñ dil ke dard kā daarū DhūñDnā thā
kisī kī aañkh meñ apne naam kā aañsū DhūñDnā thā
vaqt ki jis meñ dukh kī raakh se phuul nikalne the
vaqt ki jis meñ vaqt ke tevar aan badalne the
vaqt ki jis meñ kisī se koī va.ada karnā thā
jiinā hai yā marnā ek irāda karnā thā
vaqt kī jis meñ kisī ke vaqt meñ shirkat chāhiye thī
muTThī bhar fursat chuTkī bhar chāhat chāhiye thī
lekin merī umr meñ bahut se vaqt nahīñ aa.e
waqt ki jis mein us se pyar ki baaten karni thin
waqt ki jis mein us ke jism se sansen bharni thin
waqt ki jis mein dil ke dard ka daru DhunDna tha
kisi ki aankh mein apne nam ka aansu DhunDna tha
waqt ki jis mein dukh ki rakh se phul nikalne the
waqt ki jis mein waqt ke tewar aan badalne the
waqt ki jis mein kisi se koi wada karna tha
jina hai ya marna ek irada karna tha
waqt ki jis mein kisi ke waqt mein shirkat chahiye thi
muTThi bhar fursat chuTki bhar chahat chahiye thi
lekin meri umr mein bahut se waqt nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.