zanjīroñ meñ jakḌe hue qaidī kī sūrat
reg ke sail meñ ek bagūla
haañp rahā hai
apne vajūd se ḳhauf-zada hai
gard-o-ġhubār-e-ḳhvāb se
dhund kā nanhā nuqta phail rahā hai
aur ufuq us kī zad meñ hai
merī āñhkeñ dasht-e-ḳhalā meñ
nuur kī ek lakīr ko bantā dekh rahī haiñ
lekin maiñ ye soch rahā huuñ
merī zamīñ kis kī had meñ hai
zanjiron mein jakDe hue qaidi ki surat
reg ke sail mein ek bagula
hanp raha hai
apne wajud se KHauf-zada hai
gard-o-ghubar-e-KHwab se
dhund ka nanha nuqta phail raha hai
aur ufuq us ki zad mein hai
meri aanhken dasht-e-KHala mein
nur ki ek lakir ko banta dekh rahi hain
lekin main ye soch raha hun
meri zamin kis ki had mein hai
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 243)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.