meri zindagi ke do ruKH
ek ruḳh
sāz-e-darūñ se jal na uTheñ jism-o-jāñ kahīñ
rag rag na merī phūñk de qalb-e-tapāñ kahīñ
gum-sum huuñ aur shashdar-o-hairāñ kuchh is tarah
jaise ki kho chukā huuñ maiñ rūh-e-ravāñ kahīñ
us naav kī tarah huuñ maiñ maujoñ ke rahm par
lañgar ho jis ke TuuTe kahīñ bādbāñ kahīñ
yā mast naaz sarv sā koī nihāl-e-sabz
aa jaa.e zid meñ barq kī jo nā-gahāñ kahīñ
yā jis tarah bahār meñ murġh-e-shikasta par
hasrat se dekhtā huuñ sū-e-asmāñ kahīñ
maġhlūb is qadar huuñ maiñ ehsās-e-ġham se aaj
kho jaa.e siskiyoñ meñ na ye dāstāñ kahīñ
biite dinoñ ke ḳhvāb haiñ āñkhoñ ke sāmne
fardā kā ek ḳhauf hai dil meñ nihāñ kahīñ
nikle the jab vatan se ham apne ba-hāl-e-zār
manzil kā thā ḳhayāl na nām-o-nishāñ kahīñ
kuchh aisī muntashir sī huī dostī kī bazm
patte bikher detī hai jaise ḳhizāñ kahīñ
zinda hai yaar sohbateñ baaqī magar kahāñ
dīvār khiñch ga.ī hai na.ī darmiyāñ kahīñ
fardā pe kyā yaqīn ho nālāñ huuñ haal par
maazī kī samt le chale umr-e-ravāñ kahīñ
bād-e-sabā ke shānoñ pe amvāj-e-nūr par
le jaao mujh ko dostoñ ke darmiyāñ kahīñ
yā sham.a merī yādoñ kī gul kar do ek ek
tārīk dil kā gosha na ho zau-fishāñ kahīñ
rūdād-e-ġham sunāte hī yuuñ aa.ī un kī yaad
maiñ huuñ kahīñ ḳhayāl kahīñ dāstāñ kahīñ
ojhal haiñ go nigāh se dil se kahīñ haiñ duur
zikr-e-habīb ab bhī hai vird-e-zabāñ kahīñ
dūsrā ruḳh
kyoñ inqilāb-e-dahr se ab muztarib hai tū
dekhā hai ek haal pe daur-e-zamāñ kahīñ
āġhosh-e-inqalāb meñ palnā hai irtiqā
mar jaa.eñ ghuT ke badleñ na gar ye jahāñ kahīñ
mahshar-ba-dāmāñ lahja hai duniyā kā ek ek
maazī ke DhūñDhtā hai magar tū nishāñ kahīñ
tūfāñ ne baḌh ke qasr ko qaisar ke jā liyā
rotā hai tū ki merā nahīñ āshiyāñ kahīñ
paiham ravāñ hai nit na.ī manzil kī raah meñ
ruktā hai zindagī kā bhalā kārvāñ kahīñ
dukh dard aate dekh ke hotā hai ye gumāñ
ho zabt kā hamāre na ye imtihāñ kahīñ
aa.ī ḳhizāñ bahār bhī hogī qarīb hī
fitrat kā ye na raaz ho ġham meñ nihāñ kahīñ
kab tak tū rahm khā.egā ḳhud apne haal par
kab tak tirī talāsh dil-e-mehrbāñ kahīñ
ḳhush kar na tū kisī ko qasīde sunā sunā
jhukne na paa.e sar ba-dar-e-āstāñ kahīñ
fursat kahāñ kise jo terā hāl-e-ġham sune
duniyāñ ko apnī kam hai pareshāniyāñ kahīñ
siine ke apne ghaav ko hañs hañs ke tū chhupā
duniyā pe hone paa.e na hargiz ayaañ kahīñ
ġham ke tarāne chhoḌ ke ḳhushiyoñ ke giit gā
mushkil ko sahal karte haiñ āh-o-fuġhāñ kahīñ
pā-e-talab na lañg ho aur azm ho javāñ
mard-e-ḳhudā pe tañg hai hindostāñ kahīñ
go sabr-āzmā hai masāfat kī mushkileñ
haa.il hai rāh-e-shauq meñ sañg-e-girāñ kahīñ
chhūTā chaman hai ek hazāroñ nazar meñ haiñ
phir hogā shāḳh-e-gul pe nayā āshiyāñ kahīñ
sahn-e-chaman meñ dhuum se jā.egī phir bahār
ḳhanda hai gul tuyūr bhī hai naġhma-ḳhvāñ kahīñ
luT kar 'habīb' ḳhush hai ki tājir hai shauq kā
hai fikr-e-rozgār na sūd-o-ziyāñ kahīñ
ek ruKH
saz-e-darun se jal na uThen jism-o-jaan kahin
rag rag na meri phunk de qalb-e-tapan kahin
gum-sum hun aur shashdar-o-hairan kuchh is tarah
jaise ki kho chuka hun main ruh-e-rawan kahin
us naw ki tarah hun main maujon ke rahm par
langar ho jis ke TuTe kahin baadban kahin
ya mast naz sarw sa koi nihaal-e-sabz
aa jae zid mein barq ki jo na-gahan kahin
ya jis tarah bahaar mein murgh-e-shikasta par
hasrat se dekhta hun su-e-asman kahin
maghlub is qadar hun main ehsas-e-gham se aaj
kho jae siskiyon mein na ye dastan kahin
bite dinon ke KHwab hain aankhon ke samne
farda ka ek KHauf hai dil mein nihan kahin
nikle the jab watan se hum apne ba-haal-e-zar
manzil ka tha KHayal na nam-o-nishan kahin
kuchh aisi muntashir si hui dosti ki bazm
patte bikher deti hai jaise KHizan kahin
zinda hai yar sohbaten baqi magar kahan
diwar khinch gai hai nai darmiyan kahin
farda pe kya yaqin ho nalan hun haal par
mazi ki samt le chale umr-e-rawan kahin
baad-e-saba ke shanon pe amwaj-e-nur par
le jao mujh ko doston ke darmiyan kahin
ya shama meri yaadon ki gul kar do ek ek
tarik dil ka gosha na ho zau-fishan kahin
rudad-e-gham sunate hi yun aai un ki yaad
main hun kahin KHayal kahin dastan kahin
ojhal hain go nigah se dil se kahin hain dur
zikr-e-habib ab bhi hai wird-e-zaban kahin
dusra ruKH
kyon inqilab-e-dahr se ab muztarib hai tu
dekha hai ek haal pe daur-e-zaman kahin
aaghosh-e-inqalab mein palna hai irtiqa
mar jaen ghuT ke badlen na gar ye jahan kahin
mahshar-ba-daman lahja hai duniya ka ek ek
mazi ke DhunDhta hai magar tu nishan kahin
tufan ne baDh ke qasr ko qaisar ke ja liya
rota hai tu ki mera nahin aashiyan kahin
paiham rawan hai nit nai manzil ki rah mein
rukta hai zindagi ka bhala karwan kahin
dukh dard aate dekh ke hota hai ye guman
ho zabt ka hamare na ye imtihan kahin
aai KHizan bahaar bhi hogi qarib hi
fitrat ka ye na raaz ho gham mein nihan kahin
kab tak tu rahm khaega KHud apne haal par
kab tak teri talash dil-e-mehrban kahin
KHush kar na tu kisi ko qaside suna suna
jhukne na pae sar ba-dar-e-astan kahin
fursat kahan kise jo tera haal-e-gham sune
duniyan ko apni kam hai pareshaniyan kahin
sine ke apne ghaw ko hans hans ke tu chhupa
duniya pe hone pae na hargiz ayan kahin
gham ke tarane chhoD ke KHushiyon ke git ga
mushkil ko sahal karte hain aah-o-fughan kahin
pa-e-talab na lang ho aur azm ho jawan
mard-e-KHuda pe tang hai hindostan kahin
go sabr-azma hai masafat ki mushkilen
hail hai rah-e-shauq mein sang-e-giran kahin
chhuTa chaman hai ek hazaron nazar mein hain
phir hoga shaKH-e-gul pe naya aashiyan kahin
sahn-e-chaman mein dhum se jaegi phir bahaar
KHanda hai gul tuyur bhi hai naghma-KHwan kahin
luT kar 'habib' KHush hai ki tajir hai shauq ka
hai fikr-e-rozgar na sud-o-ziyan kahin
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 86)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.