metro shahr ki ek aam laDki
kaan pak jaate haiñ duniyā kī shikāyat sun kar
kis ne jaanā hai tumheñ kis kā yaqīñ kar luuñ maiñ
vo jo kahte haiñ ke tum aam sī laḌkī ho jise
fikr apnī hai kisī aur se matlab hī nahīñ
apnī rozāna kī routine meñ meñ jakḌī jakḌī
vo hī metro kī savārī vo hī āpā-dhāpī
til na dharne kī jagah phir bhī pahuñchnā hai jise
apnī har chiiz sambhāle hue rahnā hai jise
kaun aayā hai pas-o-pesh samajhne ke liye
kaun aa.egā ye tasvīr badalne ke liye
kitnā āsān hai ilzāmoñ se chhalnī karnā
kitnā āsān hai do bātoñ se zaḳhmī karnā
aise hālāt se laḌ kar jise kuchh banñā hai
puure karne haiñ ka.ī ḳhvāb tamannā hai kuchh
us ke pairoñ kī ye zanjīr haTānī hogī
nasl-e-havvā kī ye tasvīr miTānī hogī
tum se raushan hai har ik ghar magar aisā kyuuñ hai
tum taḌaptī ho to ye jag mirā hañstā kyuuñ hai
bairī duniyā ne tumheñ Thiik se parkhā hī nahīñ
merī āñkhoñ se kisī ne tumheñ dekhā hī nahīñ
kan pak jate hain duniya ki shikayat sun kar
kis ne jaana hai tumhein kis ka yaqin kar lun main
wo jo kahte hain ke tum aam si laDki ho jise
fikr apni hai kisi aur se matlab hi nahin
apni rozana ki routine mein mein jakDi jakDi
wo hi metro ki sawari wo hi aapa-dhapi
til na dharne ki jagah phir bhi pahunchna hai jise
apni har chiz sambhaale hue rahna hai jise
kaun aaya hai pas-o-pesh samajhne ke liye
kaun aaega ye taswir badalne ke liye
kitna aasan hai ilzamon se chhalni karna
kitna aasan hai do baaton se zaKHmi karna
aise haalat se laD kar jise kuchh banna hai
pure karne hain kai KHwab tamanna hai kuchh
us ke pairon ki ye zanjir haTani hogi
nasl-e-hawwa ki ye taswir miTani hogi
tum se raushan hai har ek ghar magar aisa kyun hai
tum taDapti ho to ye jag mera hansta kyun hai
bairi duniya ne tumhein Thik se parkha hi nahin
meri aankhon se kisi ne tumhein dekha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.