michelanjelo ki ek raat
aadam kī pahlī āvāz
in pattharoñ meñ ab bhī
chamak rahī hai jinheñ pahlī
baar maiñ ne apnī apnī zamīñ
maiñ dekhā merī sar-zamīñ
un barfāb jismoñ se ābād hai
jin jismoñ meñ ḳhūb-sūrat
āñkheñ na.ī jannat kī safīr haiñ fidyas
maiñ tujhe
ek na.e insān kā chehrā
dikhātā huuñ us chehre par
insāniyat kā ġhrēce hai aur
azmat-e-ādam kī vo tasvīr hai
jo hamesha merī zamīn par chamaktī
rahegī maiñ aadam ko
fitrat se aziim samajhtā huuñ
merī rātoñ meñ patthar chamakte
maiñ aur mere din
marmar kī rātoñ se ziyāda raushan haiñ
ye dekh ye aadam hai jis par raushnī
dāhine kañdhe se nīche gir rahī hai
raushan-dān kā darvāza band na karo
abhī aadam ko apnī hī zamīn ke liye is
raushnī kī zarūrat hai aur merī zamīn
par ab bhī vo saaya maujūd hai jis
saa.e meñ an-ginat rāteñ an-ginat
rañg aur an-ginat chehre maujūd haiñ
in añdhere meñ rafail hī nahīñ
rodan aur henrimor bhī ghuum rahe haiñ
apne apne mujassamoñ ke saath magar meñ
ab ek na.e aadam kā mujassama banā.ūñgā
jis aadam ke chehre par apnī zamīñ kī miTTī ke
saath apnī zamīn kā sūraj bhī chamkegā
kaash maiñ is na.e sūraj kā
mujassama banā sakūñ
aadam ki pahli aawaz
in pattharon mein ab bhi
chamak rahi hai jinhen pahli
bar main ne apni apni zamin
main dekha meri sar-zamin
un barfab jismon se aabaad hai
jin jismon mein KHub-surat
aankhen nai jannat ki safir hain fidyas
main tujhe
ek nae insan ka chehra
dikhata hun us chehre par
insaniyat ka ghreece hai aur
azmat-e-adam ki wo taswir hai
jo hamesha meri zamin par chamakti
rahegi main aadam ko
fitrat se azim samajhta hun
meri raaton mein patthar chamakte
main aur mere din
marmar ki raaton se ziyaada raushan hain
ye dekh ye aadam hai jis par raushni
dahine kandhe se niche gir rahi hai
raushan-dan ka darwaza band na karo
abhi aadam ko apni hi zamin ke liye is
raushni ki zarurat hai aur meri zamin
par ab bhi wo saya maujud hai jis
sae mein an-ginat raaten an-ginat
rang aur an-ginat chehre maujud hain
in andhere mein rafail hi nahin
rodan aur henrimor bhi ghum rahe hain
apne apne mujassamon ke sath magar mein
ab ek nae aadam ka mujassama banaunga
jis aadam ke chehre par apni zamin ki miTTi ke
sath apni zamin ka suraj bhi chamkega
kash main is nae suraj ka
mujassama bana sakun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 202)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.