miad
har ek ḳhvāb kī mī'ād
tai honī chāhiye
chāhe puurā ho
yā adhūrā ho
ek junūn kī ek 'umr
tai honī chāhiye
us ke firāq yā paane meñ
jiine meñ yā gañvāne meñ
sabr aur koshish kī ek had
tai honī chāhiye
gar ye hotā to kuchh āsān ho jaatā
be-hisāb ummīd kā dā.era khiñch jaatā
ḳhvāboñ ke ugne ke liye bhī āḳhir
kuchh jagah honī chāhiye
har ek KHwab ki mi'ad
tai honi chahiye
chahe pura ho
ya adhura ho
ek junun ki ek 'umr
tai honi chahiye
us ke firaq ya pane mein
jine mein ya ganwane mein
sabr aur koshish ki ek had
tai honi chahiye
gar ye hota to kuchh aasan ho jata
be-hisab ummid ka daera khinch jata
KHwabon ke ugne ke liye bhi aaKHir
kuchh jagah honi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.