meinopause
ubal ubal kar
duudh ke saare tāl-talayyāñ
suukh ga.e humak humak kar
kundan sī lorī ke bol bhī ruuTh ga.e
peñgeñ lete lete
ḳhālī bāñheñ
thak kar jhuul ga.iiñ
kajloTī meñ saarā kājal jaane kab kā pighal gayā
kis mele meñ DhūñDūñ us ko
milā nahīñ aur bichhaḌ gayā
ubal ubal kar
dudh ke sare tal-talayyan
sukh gae humak humak kar
kundan si lori ke bol bhi ruTh gae
pengen lete lete
KHali banhen
thak kar jhul gain
kajloTi mein sara kajal jaane kab ka pighal gaya
kis mele mein DhunDun us ko
mila nahin aur bichhaD gaya
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 757)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.