mir-anis
Interesting Fact
(April 1975)
manzar-o-marsiya-o-razm-o-sarāpā kyā kyā
na likhā mīr-anīs aap ne tanhā kyā kyā
nazm meñ hotī hai kirdār-nigārī kyuuñ kar
aap dikhlā ga.e ham logoñ ko rasta kyā kyā
aur jazbāt-nigārī kī taraf ruḳh jo kiyā
rakh diyā khīñch ke qirtās pe naqsha kyā kyā
aap kī lauñDī fasāhat bhī balāġhat bhī huī
roz-marra se kalām apnā sajāyā kyā kyā
marsiya-goī banī muqtadir ik sinf-e-suḳhan
ya.anī is fan ko milā aap se rutba kyā kyā
fan tasadduq huā vaarī gayā andāz-e-bayāñ
aap ne likkhe shahīdoñ ke sarāpā kyā kyā
kis kis andāz se tahrīr kiyā hāl-e-sitam
ġham kiyā aap ne shāh-e-shohdā kā kyā kyā
razm tahrīr kiyā yuuñ ki jahāñ kaañp uThā
marsiya likh ke zamāne ko rulāyā kyā kyā
jañg-e-abbās-e-dilāvar kā bayāñ paḌhte hue
sāmne āñkhoñ ke lahrātā hai dariyā kyā kyā
jaise ḳhud bhī rahe hoñ shāmil-e-fauj-e-shabbīr
haal is jañg kā duniyā ko sunāyā kyā kyā
sāhibo ye hai mire ghar kī zabāñ kahte hue
bazm ko aap ne baḳhshā hai ujālā kyā kyā
ālamī sher-o-adab meñ huī urdu bhī sharīk
aap ne zor-e-kalām apnā dikhāyā kyā kyā
mīr-anīs aap ke faizān-e-karam se ham ko
aa gayā nazm-nigārī kā salīqa kyā kyā
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
'nāzish' aġhyār ne yuuñ zor to maarā kyā kyā
manzar-o-marsiya-o-razm-o-sarapa kya kya
na likha mir-anis aap ne tanha kya kya
nazm mein hoti hai kirdar-nigari kyun kar
aap dikhla gae hum logon ko rasta kya kya
aur jazbaat-nigari ki taraf ruKH jo kiya
rakh diya khinch ke qirtas pe naqsha kya kya
aap ki launDi fasahat bhi balaghat bhi hui
roz-marra se kalam apna sajaya kya kya
marsiya-goi bani muqtadir ek sinf-e-suKHan
yani is fan ko mila aap se rutba kya kya
fan tasadduq hua wari gaya andaz-e-bayan
aap ne likkhe shahidon ke sarapa kya kya
kis kis andaz se tahrir kiya haal-e-sitam
gham kiya aap ne shah-e-shohda ka kya kya
razm tahrir kiya yun ki jahan kanp uTha
marsiya likh ke zamane ko rulaya kya kya
jang-e-abbas-e-dilawar ka bayan paDhte hue
samne aankhon ke lahraata hai dariya kya kya
jaise KHud bhi rahe hon shamil-e-fauj-e-shabbir
haal is jang ka duniya ko sunaya kya kya
sahibo ye hai mere ghar ki zaban kahte hue
bazm ko aap ne baKHsha hai ujala kya kya
aalami sher-o-adab mein hui urdu bhi sharik
aap ne zor-e-kalam apna dikhaya kya kya
mir-anis aap ke faizan-e-karam se hum ko
aa gaya nazm-nigari ka saliqa kya kya
na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib
'nazish' aghyar ne yun zor to mara kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.