sub.h-e-sādiq kī tarah raushan hai baapū terī zaat
zau-fishāñ hai hind kī tārīḳh meñ terā sabāt
paak bātin paak tīnat azm ke koh-e-girāñ
ḳhādim-e-qaum-o-vatan ai nāzish-e-hindostāñ
ḳhūbiyoñ se dast-e-qudrat ne sañvārā hai tujhe
irtiqā.ī manziloñ ne jab pukārā hai tujhe
tere aḳhlāq-o-mohabbat kā ajab andāz hai
jis ko dekho aaj vo terā hī ham-āvāz hai
terī pā-mardī ne zanjīr-e-ġhulāmī toḌ dī
mil gayā svārāj jab baapū to duniyā chhoḌ dī
tere istiqlāl par saarā zamāna dang thā
jang-e-āzādī ke laḌne kā nirālā Dhang thā
terī koshish se banā hindostāñ jannat-nishāñ
rāsta tū ne dikhāyā ban ke mīr-e-kārvāñ
aaj sar par hind ke fat.h-o-zafar kā taaj hai
tū diloñ meñ jalva-gar terā diloñ par raaj hai
is badalte daur meñ ye shān-o-azmat hai tirī
mulk-o-millat ko bahut ab bhī zarūrat hai tirī
qaum kā ik gauhar-e-nāyāb thā jo kho gayā
qaum kā ik jazba-e-betāb thā jo so gayā
rāsta batlā ke ai 'takmīl' vo rahbar gayā
aane vāloñ ke liye hamvār rāheñ kar gayā