mira-ji tum hi kaho
maiñ samundar kināre
ārām-kursī par
dhuup señk rahā thā
ek laḌkī paanī se niklī
thakī thakī sī
sustāne ko baiTh ga.ī
na-jāne us ke dil meñ kyā aaya
baa.eñ pair par ret jamā kar
pair bāhar nikāl ghar banāyā
maiñ hairat-e-shauq se
sab dekhtā rahā
mujhe ghar achchhā lagā
us meñ dāḳhil huā
aur vo samundar vāpas chalī ga.ī
mīrā-jī
ab 'eruj' kyā kare
main samundar kinare
aaram-kursi par
dhup senk raha tha
ek laDki pani se nikli
thaki thaki si
sustane ko baiTh gai
na-jaane us ke dil mein kya aaya
baen pair par ret jama kar
pair bahar nikal ghar banaya
main hairat-e-shauq se
sab dekhta raha
mujhe ghar achchha laga
us mein daKHil hua
aur wo samundar wapas chali gai
mira-ji
ab 'eruj' kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.