mirabai ki ek taswir
kirshn bhagvān kā adnā sā pujārī huuñ maiñ
mujh ko giitā se hai ta.alīm milī bhagTī kī
haq-parastoñ se hai bharpūr aqīdat mujh ko
mujh ko iisā se bhī hai pyaar mohammad se bhī
merā kamra jo parastish ke liye hai us meñ
nuur barsātī haiñ valiyoñ kī hasīñ tasvīreñ
dekh kar un ko khil uThtā hai mire dil kā kañval
mere maazī ke haiñ ḳhvāboñ kī yahī ta.abīreñ
in meñ gautam bhī hai nānak bhī hai aur raam bhī hai
raam kirshn aur kabīr aur hai nanda naa.ī
al-ġharaz aise hī in pahuñche hue santoñ meñ
jalva-gar kaif ke aalam meñ hai mīrābā.ī
naqsh is darja hasīñ hai ye ki bas kyā kahiye
husn tasvīr kā nazroñ meñ khubā jaatā hai
rang mastī hai kuchh aisā ki bayāñ kyā kiije
dekhte hī jise dil vajd meñ aa jaatā hai
kitnī sadiyoñ kī shab-o-roz riyāzat ke tufail
aadmī nuur kī halkī sī jhalak paatā hai
ruḳh se salmā-e-haqīqat ke jab uThtī hai naqāb
jām-e-dil bāda-e-mastī se chhalak jaatā hai
jaan le asl haqīqat ko jo insāñ us ke
dil meñ ik prem kā tūfān umañD aatā hai
duur jab shīsha-e-dil se ho ġhubār-e-pindār
ek hī nuur har ik chiiz meñ vo paatā hai
apne bhagtoñ ko ġham-e-dil se chhuḌāne ke liye
apne gītoñ se fazā meñ abhī ras gholegī
aisā lagtā hai ki khul jā.eñgī us kī āñkheñ
aisā lagtā hai ye tasvīr abhī bolegī
jāñ-fishānī se banā.ī hai ye jis ne tasvīr
us kā ehsān zamāne pe baḌā bhārī hai
jis kī taḳhlīq se duniyā ko mayassar ho sukūñ
usī fankār kī duniyā meñ parastārī hai
rang-e-mastī hai kuchh aisā ki bayāñ kyā kiije
dekhte hī jise dil vajd meñ aa jaatā hai
naqsh is darja hasīñ hai ye ki bas kyā kahiye
husn tasvīr kā nazroñ meñ khubā jaatā hai
kirshn bhagwan ka adna sa pujari hun main
mujh ko gita se hai talim mili bhagTi ki
haq-paraston se hai bharpur aqidat mujh ko
mujh ko isa se bhi hai pyar mohammad se bhi
mera kamra jo parastish ke liye hai us mein
nur barsati hain waliyon ki hasin taswiren
dekh kar un ko khil uThta hai mere dil ka kanwal
mere mazi ke hain KHwabon ki yahi tabiren
in mein gautam bhi hai nanak bhi hai aur ram bhi hai
ram kirshn aur kabir aur hai nanda nai
al-gharaz aise hi in pahunche hue santon mein
jalwa-gar kaif ke aalam mein hai mirabai
naqsh is darja hasin hai ye ki bas kya kahiye
husn taswir ka nazron mein khuba jata hai
rang masti hai kuchh aisa ki bayan kya kije
dekhte hi jise dil wajd mein aa jata hai
kitni sadiyon ki shab-o-roz riyazat ke tufail
aadmi nur ki halki si jhalak pata hai
ruKH se salma-e-haqiqat ke jab uThti hai naqab
jam-e-dil baada-e-masti se chhalak jata hai
jaan le asl haqiqat ko jo insan us ke
dil mein ek prem ka tufan umanD aata hai
dur jab shisha-e-dil se ho ghubar-e-pindar
ek hi nur har ek chiz mein wo pata hai
apne bhagton ko gham-e-dil se chhuDane ke liye
apne giton se faza mein abhi ras gholegi
aisa lagta hai ki khul jaengi us ki aankhen
aisa lagta hai ye taswir abhi bolegi
jaan-fishani se banai hai ye jis ne taswir
us ka ehsan zamane pe baDa bhaari hai
jis ki taKHliq se duniya ko mayassar ho sukun
usi fankar ki duniya mein parastari hai
rang-e-masti hai kuchh aisa ki bayan kya kije
dekhte hi jise dil wajd mein aa jata hai
naqsh is darja hasin hai ye ki bas kya kahiye
husn taswir ka nazron mein khuba jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.