miras
mire ghar kī dīvār par
ahd-e-rafta ke
rañgīn afsāne saje haiñ
mire ajdād kī hijrateñ
apnī yādoñ ke
ḳhvāboñ ke
hamrāh khaḌī haiñ
magar maiñ to us daur kā aa.ina huuñ
jahāñ ḳhvāb bante haiñ kam
aur bikharte bahut haiñ
jahāñ log bas
ahd-e-rafta meñ
jiine kā gur jānte haiñ
maiñ baasī huuñ us gaañv kā
jis ke rākhe
ḳhud apne gvāloñ ke
ghar lūTte haiñ
jahāñ khetoñ meñ
azāboñ kī fasleñ kaTī haiñ
maiñ ab muḌ ke dekhūñ
mere ghar ki diwar par
ahd-e-rafta ke
rangin afsane saje hain
mere ajdad ki hijraten
apni yaadon ke
KHwabon ke
hamrah khaDi hain
magar main to us daur ka aaina hun
jahan KHwab bante hain kam
aur bikharte bahut hain
jahan log bas
ahd-e-rafta mein
jine ka gur jaante hain
main basi hun us ganw ka
jis ke rakhe
KHud apne gwalon ke
ghar luTte hain
jahan kheton mein
azabon ki faslen kaTi hain
main ab muD ke dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.