milap
valvale sīnoñ meñ ġhaltāñ
aur ragoñ meñ garm ḳhuuñ
josh-e-barnā.ī vufūr-e-shauq afsurda-dilī
zindagī mauhūm dorāhā
dhundalke aur ġhubār
kāhish-e-sūd-o-ziyāñ sa.ī-e-musalsal aur firāq
zindagī kī kulfatoñ meñ intizār zindagī
kāhish-e-sūd-o-ziyāñ
ik bahr-e-nā-paidā-kanār
hāsil-e-umr-e-ravāñ hai aaj sone kī jhalak
aur ik jhankār meñ do bichhḌī rūhoñ kā milāp
sāmne haiñ jab ki āsār-e-sahar
aah kis se luuñ maiñ apnī muflisī kā intiqām
aah ye dil sard rūhoñ kā milāp
walwale sinon mein ghaltan
aur ragon mein garm KHun
josh-e-barnai wufur-e-shauq afsurda-dili
zindagi mauhum doraha
dhundalke aur ghubar
kahish-e-sud-o-ziyan sai-e-musalsal aur firaq
zindagi ki kulfaton mein intizar zindagi
kahish-e-sud-o-ziyan
ek bahr-e-na-paida-kanar
hasil-e-umr-e-rawan hai aaj sone ki jhalak
aur ek jhankar mein do bichhDi ruhon ka milap
samne hain jab ki aasar-e-sahar
aah kis se lun main apni muflisi ka intiqam
aah ye dil sard ruhon ka milap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.