milan
jab hasīnoñ kī tasāvīr kitāboñ meñ mileñ
kore kāġhaz hī savāloñ ke javāboñ meñ mileñ
din ko theatre meñ mileñ raat ko bāġhoñ meñ mileñ
milne vaale jo mileñ kuchh to hijāboñ meñ mileñ
chāhne vāloñ kā is tarah chaman meñ ho milan
jis tarah phuul chañbelī ke gulāboñ meñ mileñ
na maiñ dūlhā huuñ nayā aur na na.ī dūlhan tum
donoñ būḌhe haiñ to kyoñ itne hijāboñ meñ mileñ
umr baḌhtī hai to jazboñ meñ kamī hotī hai
murġh-o-māhī ke maze kaise kabāboñ meñ mileñ
isī ummīd pe maiḳhāne ke chakkar kaaTe
shāyad ab achchhe-bhale log ḳharāboñ meñ mileñ
vasl kā lutf shab-e-hijr ke maare yuuñ leñ
niiñd aa jaa.e jo donoñ ko to ḳhvāboñ meñ mileñ
jin savāboñ ke bharose pe hai zinda vaa.iz
hameñ shāyad vo gunāhoñ ke azāboñ meñ mileñ
vā.iz-o-rind agar shīr-o-shakar ho jaa.eñ
zā.iqe pand-o-nasīhat ke sharāboñ meñ mileñ
'ḳhvāh-maḳhvāh' milne se katrāte ho jin se din meñ
kyā karoge jo tumheñ raat ko ḳhvāboñ meñ mileñ
jab hasinon ki tasawir kitabon mein milen
kore kaghaz hi sawalon ke jawabon mein milen
din ko theatre mein milen raat ko baghon mein milen
milne wale jo milen kuchh to hijabon mein milen
chahne walon ka is tarah chaman mein ho milan
jis tarah phul chanbeli ke gulabon mein milen
na main dulha hun naya aur na nai dulhan tum
donon buDhe hain to kyon itne hijabon mein milen
umr baDhti hai to jazbon mein kami hoti hai
murgh-o-mahi ke maze kaise kababon mein milen
isi ummid pe maiKHane ke chakkar kaTe
shayad ab achchhe-bhale log KHarabon mein milen
wasl ka lutf shab-e-hijr ke mare yun len
nind aa jae jo donon ko to KHwabon mein milen
jin sawabon ke bharose pe hai zinda waiz
hamein shayad wo gunahon ke azabon mein milen
waiz-o-rind agar shir-o-shakar ho jaen
zaiqe pand-o-nasihat ke sharabon mein milen
'KHwah-maKHwah' milne se katraate ho jin se din mein
kya karoge jo tumhein raat ko KHwabon mein milen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.