milan
maiñ havāoñ ke sang aaj bādaloñ kī jhāñjhareñ pahan kar zamīn par utrī huuñ
visāl ke lamhoñ kā koī ant nahīñ
mere chāroñ taraf qatre ghuñgruoñ kī tarah chhan-chhan naach rahe haiñ
aur maiñ titliyoñ kī tarah rangoñ se kheltī tumhāre gale se aa lagī huuñ
intizār ke din aur raat mere hāfize se nikal ga.e haiñ
ki maiñ ne kitnī rātoñ ko takiyoñ par apnī bebasī ko tahrīr kiyā thā
aaj to sāvan kā mausam bhī mujhe gavāhī de rahā hai
ki maiñ akelī nahīñ huuñ
maiñ ḳhushbū-dār bojhal havā kī tarah kabhī us daraḳht se kabhī
khiḌkī ke pardoñ se Takrā rahī huuñ dīvāna-vār
main hawaon ke sang aaj baadalon ki jhanjharen pahan kar zamin par utri hun
visal ke lamhon ka koi ant nahin
mere chaaron taraf qatre ghungruon ki tarah chhan-chhan nach rahe hain
aur main titliyon ki tarah rangon se khelti tumhaare gale se aa lagi hun
intizar ke din aur raat mere hafize se nikal gae hain
ki main ne kitni raaton ko takiyon par apni bebasi ko tahrir kiya tha
aaj to sawan ka mausam bhi mujhe gawahi de raha hai
ki main akeli nahin hun
main KHushbu-dar bojhal hawa ki tarah kabhi us daraKHt se kabhi
khiDki ke pardon se Takra rahi hun diwana-war
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.