mini-bus ka safar
conveyance kuchh bhī jab nazar aayā na daa.eñ baa.eñ
sochā ki aaj ham bhī mini-bus meñ baiTh jaa.eñ
jaanā thā lālū-khet chaḌhe the sadr se ham
ruḳhsat hue the sar-ba-kafan apne ghar se ham
har raah bus kī shahr-e-ḳhamoshāñ kī raah thī
har seat bus kī āḳhirī ārām-gāh thī
raqqās-e-ḳhush-adā kī tarah hil rahī thī bus
nā-āshnā Truck se gale mil rahī thī bus
fōtpath se bhī haath milātī huī chalī
Thumka qadam qadam pe lagātī huī chalī
purza har ek maz.har-e-chañg-o-raubāb thā
is bus kā ittifāq se bhoñpū ḳharāb thā
Dhīlī kamāniyoñ meñ tarannum balā kā thā
dekhā utar ke bus se to jhoñkā havā kā thā
gaane meñ Thīk-Thāk the chalne meñ weak the
is mahfil-e-samā.a meñ pahiye sharīk the
nāzuk samā.atoñ pe sitam Dhā rahī thī bus
ulTe suroñ meñ koī ġhazal gā rahī thī bus
ho to ga.e the bus meñ musāfir sab adjust
Dar thā ki ho na jaa.e kahīñ tyroñ meñ burst
bus meñ sikuḌ ke thaan se chit ho ga.e the ham
purze the aur machine meñ fiT ho ga.e the ham
jo kuchh bhī mil rahā thā liye jā rahe the ham
dhakkoñ kī geñd catch kiye jā rahe the ham
majbūr ho ga.e the jamīl o hasīn log
murġhā bane hue the muazziz-tarīn log
bus meñ misāl-e-shāḳh-e-samar jhuk ga.e the log
ḳhuddār o sar-buland the par jhuk ga.e the log
kuchh shauqiya the kuchh ba-irāda jhuke hue
azmat-miyāñ the sab se zyāda jhuke hue
āzād tab.a vāqif-e-garaje hī na thī
signal kī battiyoñ kī to muhtāj hī na thī
stop se chalī to rukī ik dukān meñ
āḳhir use panāh milī sā.ebān meñ
vo log chal diye jo sar-e-rahguzar na the
''manzil unheñ milī jo sharīk-e-safar na the''
conweyance kuchh bhi jab nazar aaya na daen baen
socha ki aaj hum bhi mini-bus mein baiTh jaen
jaana tha lalu-khet chaDhe the sadr se hum
ruKHsat hue the sar-ba-kafan apne ghar se hum
har rah bus ki shahr-e-KHamoshan ki rah thi
har seat bus ki aaKHiri aaram-gah thi
raqqas-e-KHush-ada ki tarah hil rahi thi bus
na-ashna Truck se gale mil rahi thi bus
footpath se bhi hath milati hui chali
Thumka qadam qadam pe lagati hui chali
purza har ek mazhar-e-chang-o-raubab tha
is bus ka ittifaq se bhonpu KHarab tha
Dhili kamaniyon mein tarannum bala ka tha
dekha utar ke bus se to jhonka hawa ka tha
gane mein Thik-Thak the chalne mein weak the
is mahfil-e-samaa mein pahiye sharik the
nazuk samaaton pe sitam Dha rahi thi bus
ulTe suron mein koi ghazal ga rahi thi bus
ho to gae the bus mein musafir sab adjust
Dar tha ki ho na jae kahin tyron mein burst
bus mein sikuD ke than se chit ho gae the hum
purze the aur machine mein fiT ho gae the hum
jo kuchh bhi mil raha tha liye ja rahe the hum
dhakkon ki gend catch kiye ja rahe the hum
majbur ho gae the jamil o hasin log
murgha bane hue the muazziz-tarin log
bus mein misal-e-shaKH-e-samar jhuk gae the log
KHuddar o sar-buland the par jhuk gae the log
kuchh shauqiya the kuchh ba-irada jhuke hue
azmat-miyan the sab se zyaada jhuke hue
aazad taba waqif-e-garaje hi na thi
signal ki battiyon ki to muhtaj hi na thi
stop se chali to ruki ek dukan mein
aaKHir use panah mili saeban mein
wo log chal diye jo sar-e-rahguzar na the
manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the
- Book : No Problem (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.