mera hona na hona
mirā honā na honā munhasir hai
ek nuqte par
vo ik nuqta
jo do harfoñ ko aapas meñ milā kar
lafz kī tashkīl kartā hai
vo ik nuqta simaT jaa.e to
hone kā har ik imkāñ
na hone tak kā saarā fāsla
pal-bhar meñ tai kar le
vahī nuqta bikhar jaa.e
to har ik shai
na hone ke qafas kī tīliyoñ ko toḌ kar rakh de
vo ek nuqta mirī āñkhoñ meñ akasr
raushnī ke saath rañgoñ ko ugātā hai
mire idrāk meñ shabnam kī sūrat
yā sitāre kī tarah lauh-e-yaqīñ par jagmagātā hai
vahī nuqta mujhe tashkīk ke jañgal meñ
jugnū ban ke manzil kī taraf rasta dikhātā hai
mujhe akasr batātā hai
mirā honā na hone kā amal se
mire hone kī bhī takmīl hotī hai
vo ik nuqta kahāñ hai
kaun hai
kis ke laboñ meñ chhup ke har isbāt ko
inkār meñ tabdīl kartā hai
jo do harfoñ ko aapas meñ milā kar lafz kī tashkīl kartā hai
ye nukta bhī isī nuqte meñ muzmar hai
vo ek nuqta ki ab tak jis ke hone kā amiiñ huuñ maiñ
vo ifshā ho to maiñ samjhūñ
ki huuñ bhī yā nahīñ huuñ maiñ
mera hona na hona munhasir hai
ek nuqte par
wo ek nuqta
jo do harfon ko aapas mein mila kar
lafz ki tashkil karta hai
wo ek nuqta simaT jae to
hone ka har ek imkan
na hone tak ka sara fasla
pal-bhar mein tai kar le
wahi nuqta bikhar jae
to har ek shai
na hone ke qafas ki tiliyon ko toD kar rakh de
wo ek nuqta meri aankhon mein akasr
raushni ke sath rangon ko ugata hai
mere idrak mein shabnam ki surat
ya sitare ki tarah lauh-e-yaqin par jagmagata hai
wahi nuqta mujhe tashkik ke jangal mein
jugnu ban ke manzil ki taraf rasta dikhata hai
mujhe akasr batata hai
mera hona na hone ka amal se
mere hone ki bhi takmil hoti hai
wo ek nuqta kahan hai
kaun hai
kis ke labon mein chhup ke har isbaat ko
inkar mein tabdil karta hai
jo do harfon ko aapas mein mila kar lafz ki tashkil karta hai
ye nukta bhi isi nuqte mein muzmar hai
wo ek nuqta ki ab tak jis ke hone ka amin hun main
wo ifsha ho to main samjhun
ki hun bhi ya nahin hun main
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 971)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.