kabhī aisā bhī hotā hai
maiñ anjāne pate par ek ḳhat likh kar
sipurd-e-Dāk kartī huuñ
jo dil meñ muāmalāt-e-dil haiñ sab
sad-chāk kartī huuñ
maiñ likh detī huuñ un ke naam bhī jin se shikāyat hai
batā detī huuñ kis kis se mujhe kitnī mohabbat hai
ta.āruf un kā bhī jin se bahut nuqsān pahuñchā hai
jinheñ paane ko sahrā tak dil-e-vīrān pahuñchā hai
raqam kartī huuñ kis kā dil dukhā hai vāqa.ī mujh se
bayāñ kartī huuñ kyuuñ rūThī rahī hai zindagī mujh se
ġhalatiyāñ haiñ jo merī sab sar-e-aurāq rakhtī huuñ
aur har safhe pe apne dastaḳhat misdāq rakhtī huuñ
magar aisā bhī hotā hai
koī dastak sī hotī hai
na jaane darmiyān-e-shab yahāñ par kaun aatā hai
mirī dahlīz par aa kar mirā ḳhat Daal jaatā hai
kabhi aisa bhi hota hai
main anjaane pate par ek KHat likh kar
sipurd-e-Dak karti hun
jo dil mein muamalat-e-dil hain sab
sad-chaak karti hun
main likh deti hun un ke nam bhi jin se shikayat hai
bata deti hun kis kis se mujhe kitni mohabbat hai
taaruf un ka bhi jin se bahut nuqsan pahuncha hai
jinhen pane ko sahra tak dil-e-viran pahuncha hai
raqam karti hun kis ka dil dukha hai waqai mujh se
bayan karti hun kyun ruThi rahi hai zindagi mujh se
ghalatiyan hain jo meri sab sar-e-auraq rakhti hun
aur har safhe pe apne dastaKHat misdaq rakhti hun
magar aisa bhi hota hai
koi dastak si hoti hai
na jaane darmiyan-e-shab yahan par kaun aata hai
meri dahliz par aa kar mera KHat Dal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.