mera KHwab thin jo mohabbaten
mirī ārzūoñ ke devtā
maiñ ajiib thī maiñ ajab rahī
mujhe dasht-e-ġham ko bhī chhānne kī talab rahī
mirī baat meñ koī raat aa ke Thahar ga.ī
mirī zaat meñ koī zaat aa ke guzar ga.ī
mujhe phir bhī dard ko jāñchne kī talab rahī
ka.ī ranj bhī haiñ nadāmatoñ se mile hue
ka.ī shahr bhī haiñ adāvatoñ se bhare hue
kisī ġham ke zor se zard hai mirā shahr bhī
mujhe yaad hai kisī shām-e-ġham kā vo qahr bhī
ye jo log haiñ ye baḌe ajiib se log haiñ
ye abhī talak na samajh sake
hai kamāl kyā
hai mohabbatoñ kā junūb kyā
hai shumāl kyā
hai urūj-e-dard-e-habīb kyā
hai zavāl kyā
ye samajh sake hī nahīñ
hai ham ko malāl kyā
mujhe vasl-e-yār ke falsafe pe yaqīn hai
ye jo hijr hai ye kisī gumān se kam nahīñ
mirī aañkh dasht hai
muddatoñ se jo nam nahīñ
sabhī kuchh hai bas yahāñ tum nahīñ
ai habīb-e-man
ai tabīb-e-jāñ
ye jo chāshnī hai hurūf meñ
tirī den hai
ye jo naqsh haiñ mirī aañkh meñ
hai tirā karam
jo miThās hai mirī baat meñ
tirī baat hai
mirā mujh meñ kuchh bhī nahīñ rahā
tirī zaat hai
ai faqīh-e-shahr tirā bayān bhī jhuuT hai
mujhe ishq hai to phir is meñ koī dalīl kyā
mujhe zabt miltā hai roz gar
to ye dard dard-e-sabīl kyā
mirī ārzūoñ ke devtā
zarā dekh le
mirī ruuh vajd kī kaifiyat meñ ghirī huī
maiñ jo saañs saañs marī huī
tire dar pe kab se paḌī huī
kabhī dekh le
kabhī saar le
ye batā mujhe
hai qusūr kyā
mire devtā mire bādshāh
baḌe zaḳhm haiñ
baḌe zaḳhm haiñ mirī ruuh par
tujhe terī shaan kā vāsta
mire indimāl ke vāste
zarā muskurā
zarā muskurā ki sukūñ mile
zarā duur mujh se fishār ho
mire chār-sū tirā pyaar ho
mire jism-o-jāñ kī ḳhizāoñ meñ bhī bahār ho
to phir is ke baad vazāhateñ
ye adāvateñ
mujhe kab haiñ raas saḳhvāteñ
vahī āfateñ
ye musībateñ
mirī zaḳhm-zaḳhm aqīdateñ
mirī dard dard irādateñ
maiñ haqīqatoñ se kaTī huī mire chārāgar
mujhe raas aa.iiñ aziyyateñ
mirā ḳhvāb thiiñ jo mohabbateñ
meri aarzuon ke dewta
main ajib thi main ajab rahi
mujhe dasht-e-gham ko bhi chhanne ki talab rahi
meri baat mein koi raat aa ke Thahar gai
meri zat mein koi zat aa ke guzar gai
mujhe phir bhi dard ko jaanchne ki talab rahi
kai ranj bhi hain nadamaton se mile hue
kai shahr bhi hain adawaton se bhare hue
kisi gham ke zor se zard hai mera shahr bhi
mujhe yaad hai kisi sham-e-gham ka wo qahr bhi
ye jo log hain ye baDe ajib se log hain
ye abhi talak na samajh sake
hai kamal kya
hai mohabbaton ka junub kya
hai shumal kya
hai uruj-e-dard-e-habib kya
hai zawal kya
ye samajh sake hi nahin
hai hum ko malal kya
mujhe wasl-e-yar ke falsafe pe yaqin hai
ye jo hijr hai ye kisi guman se kam nahin
meri aankh dasht hai
muddaton se jo nam nahin
sabhi kuchh hai bas yahan tum nahin
ai habib-e-man
ai tabib-e-jaan
ye jo chashni hai huruf mein
teri den hai
ye jo naqsh hain meri aankh mein
hai tera karam
jo miThas hai meri baat mein
teri baat hai
mera mujh mein kuchh bhi nahin raha
teri zat hai
ai faqih-e-shahr tera bayan bhi jhuT hai
mujhe ishq hai to phir is mein koi dalil kya
mujhe zabt milta hai roz gar
to ye dard dard-e-sabil kya
meri aarzuon ke dewta
zara dekh le
meri ruh wajd ki kaifiyat mein ghiri hui
main jo sans sans mari hui
tere dar pe kab se paDi hui
kabhi dekh le
kabhi sar le
ye bata mujhe
hai qusur kya
mere dewta mere baadshah
baDe zaKHm hain
baDe zaKHm hain meri ruh par
tujhe teri shan ka wasta
mere indimal ke waste
zara muskura
zara muskura ki sukun mile
zara dur mujh se fishaar ho
mere chaar-su tera pyar ho
mere jism-o-jaan ki KHizaon mein bhi bahaar ho
to phir is ke baad wazahaten
ye adawaten
mujhe kab hain ras saKHwaten
wahi aafaten
ye musibaten
meri zaKHm-zaKHm aqidaten
meri dard dard iradaten
main haqiqaton se kaTi hui mere chaaragar
mujhe ras aain aziyyaten
mera KHwab thin jo mohabbaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.