mera muKhaalif KHuda nahin hai
maiñ āsmāñ kī bulandiyoñ se
tumhārī nazroñ kī narm shāḳhoñ pe aa gayā huuñ
ki sar-phirī sī havā kī zad meñ
mirī nigāhoñ kā nuur gum hai
maiñ chāñdnī kī
safed rātoñ meñ luT gayā huuñ
ḳhud apnī nazroñ se gir gayā huuñ
magar ye merī ḳhatā nahīñ hai
mirā muḳhālif ḳhudā nahīñ hai
main aasman ki bulandiyon se
tumhaari nazron ki narm shaKHon pe aa gaya hun
ki sar-phiri si hawa ki zad mein
meri nigahon ka nur gum hai
main chandni ki
safed raaton mein luT gaya hun
KHud apni nazron se gir gaya hun
magar ye meri KHata nahin hai
mera muKHalif KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.