mera nam bachcho batao to jaanun
mire saath aatī haiñ ThanDī havā.eñ
badaltī haiñ aane se merī fazā.eñ
maiñ aatī huuñ barsāt ke baad tan kar
sulātī huuñ logoñ ko kamre ke andar
maiñ hamrāh laatī huuñ gadde bichhaune
pahnātī huuñ har ek ko garm kapḌe
mazedār meve khilātī huuñ sab ko
baḌī garm chaa.e pilātī huuñ sab ko
kabhī pesh kartī huuñ gājar kā halva
kabhī lā ke detī huuñ halva malīda
mire daur meñ raat hotī hai lambī
bharī hai bahut jis meñ hikmat ḳhudā kī
ye hikmat ḳhudā kī sujhāo to jānūñ
mirā naam bachcho batāo to jānūñ
mere sath aati hain ThanDi hawaen
badalti hain aane se meri fazaen
main aati hun barsat ke baad tan kar
sulati hun logon ko kamre ke andar
main hamrah lati hun gadde bichhaune
pahnati hun har ek ko garm kapDe
mazedar mewe khilati hun sab ko
baDi garm chae pilati hun sab ko
kabhi pesh karti hun gajar ka halwa
kabhi la ke deti hun halwa malida
mere daur mein raat hoti hai lambi
bhari hai bahut jis mein hikmat KHuda ki
ye hikmat KHuda ki sujhao to jaanun
mera nam bachcho batao to jaanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.