mera roza hai
duur se jalva dikhāo ki mirā roza hai
tum mire paas na aao ki mirā roza hai
ghaT sake din to ghaTāo ki mirā roza hai
baḌh sake raat baḌhāo ki mirā roza hai
qarz uThāo ki churāo magar ai ahl-e-haram
bīsiyoñ khāne pakāo ki mirā roza hai
mere bachcho kahīñ bāġhīche meñ khelo jā kar
gul-ġhapāḌā na machāo ki mirā roza hai
bāñdh lo āñkhoñ pe paTTī mirī begam yā tum
aise ban-Than ke na aao ki mirā roza hai
koī āvāz bhī kānoñ meñ na aa.e mere
ghar meñ jhāḌū na phirāo ki mirā roza hai
ghar ke darvāze pe ye likh diyā notice maiñ ne
ghar kī ghanTī na bajāo ki mirā roza hai
rāsta apnā badal deñ ye havā meñ apnā
in jahāzoñ ko batāo ki mirā roza hai
TuuT hī jaa.e na roza mirā bas dhachke meñ
zor se bus na chalāo ki mirā roza hai
kaam ho saktā hai daftar kā kahīñ rozoñ meñ
mez kursī ko haTāo ki mirā roza hai
saath chaltā huuñ maiñ pub meñ mire yaaro lekin
baa'd iftār pilāo ki mirā roza hai
hoñT papḌā.e haiñ utrā huā chehra dekho
aaj tum maan hī jaao ki mirā roza hai
tum ibādat meñ tijārat kī milāvaT karke
duudh paanī meñ milāo ki mirā roza hai
tum na be-rozoñ se 'bulbul' kabhī aise uljho
gāliyāñ yūñhī na khaao ki mirā roza hai
dur se jalwa dikhao ki mera roza hai
tum mere pas na aao ki mera roza hai
ghaT sake din to ghaTao ki mera roza hai
baDh sake raat baDhao ki mera roza hai
qarz uThao ki churao magar ai ahl-e-haram
bisiyon khane pakao ki mera roza hai
mere bachcho kahin baghiche mein khelo ja kar
gul-ghapaDa na machao ki mera roza hai
bandh lo aankhon pe paTTi meri begam ya tum
aise ban-Than ke na aao ki mera roza hai
koi aawaz bhi kanon mein na aae mere
ghar mein jhaDu na phirao ki mera roza hai
ghar ke darwaze pe ye likh diya notice main ne
ghar ki ghanTi na bajao ki mera roza hai
rasta apna badal den ye hawa mein apna
in jahazon ko batao ki mera roza hai
TuT hi jae na roza mera bas dhachke mein
zor se bus na chalao ki mera roza hai
kaam ho sakta hai daftar ka kahin rozon mein
mez kursi ko haTao ki mera roza hai
sath chalta hun main pub mein mere yaro lekin
ba'd iftar pilao ki mera roza hai
honT papDae hain utra hua chehra dekho
aaj tum man hi jao ki mera roza hai
tum ibaadat mein tijarat ki milawaT karke
dudh pani mein milao ki mera roza hai
tum na be-rozon se 'bulbul' kabhi aise uljho
galiyan yunhi na khao ki mera roza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.