mere azizo, mere rafiqo
Interesting Fact
Sardar Jafari's wife Sultana Jafari wrote a letter to him saying that some people are afraid of your communism. In response, Sardar Jafari created this poem.
mire azīzo, mire rafīqo
mirī communism se ho ḳhā.if
mirī tamannā se Dar rahe ho
magar mujhe kuchh gilā nahīñ hai
tumhārī rūhoñ kī sādgī se
tumhāre dil kī sanam-garī se
mujhe ye mahsūs ho rahā hai
ki jaise begāna havā bhī tak
tum apne andāz-e-dilbarī se
ki jaise vāqif nahīñ abhī tak
sitamgaroñ kī sitamgarī se
fareb ne jin ke aadmī ko
haqīr o buzdil banā diyā hai
haqīqatoñ ke muqāble meñ
farār karnā sikhā dayā hai
tumheñ ye jis din pata chalegā
hayāt rañg-e-hinā nahīñ hai
hayāt husn-e-butāñ nahīñ hai
ye ek ḳhanjar-ba-kaf karishma
ek zahrīlā jām-e-mai hai
hamārī piirī ho yā javānī
malūl o afsurda zindagānī
shikasta-e-naġhma shikasta-e-nai hai
tumheñ ye jis din pata chalegā
ta.assubāt-e-kuhan ke parde
tumhārī āñkhoñ meñ jal-bujheñge
ye tum ne kaise samajh liyā hai
ki dil mirā ishq se hai ḳhālī
mirī nazar husn se hai aarī
qarīb aao tumheñ batā.ūñ
mujhe mohabbat hai aadmī se
mujhe mohabbat hai zindagī se
mujhe mohabbat hai mah-jabīnoñ
se, gul-ruḳhoñ se saman-e-baroñ se
kitāboñ se, roTiyoñ se, phūloñ se
pattharoñ se, samundaroñ se
mirī nigah meñ base hue haiñ
hazār andāz-e-dil-rubā.ī
maiñ apne siine ko chaak kar ke
agar tumheñ apnā dil dikhā.ūñ
to tum ko har zaḳhm ke chaman meñ
hazār sarv-e-ravāñ mileñge
udaas maġhmūm vādiyoñ meñ
hazār-hā naġhma-ḳhvāñ mileñge
hazār āriz, hazār sham.eñ
hazār qāmat, hazār ġhazleñ
subuk-ḳharāmāñ ġhazāl jaise
hazār armāñ hazār umīdeñ
falak pe tāroñ ke jaal jaise
magar koī toḌe de rahā hai
laraztī mizhgāñ ke nashtaroñ ko
diloñ ke andar utārtā hai
koī siyāsat ke ḳhanjaroñ ko
kisī ke zahrīle tez nāḳhun
uqaab ke panja-hā-e-ḳhūnīñ
kī tarah āñkhoñ pe aa rahe haiñ
gulāb se tan misāl-e-bismil
zamīn par tilmilā rahe haiñ
jo pyaas paanī kī muntazir thī
vo sūliyoñ par Tañgī huī hai
vo bhuuk roTī jo māñgtī thī
salīb-e-zar par chaḌhī huī hai
ye zulm kaisā, sitam ye kyā hai
maiñ sochtā huuñ ye kyā junūñ hai
jahāñ meñ nān-e-javīñ kī qīmat
kisī kī ismat, kisī kā ḳhuuñ hai
tumhīñ batāo mire azīzo
mire rafīqo, tumhīñ batāo
ye zindagī paara paara kyuuñ hai
hamārī pyārī hasīñ zamīñ par
ye qatl-gah kā nazāra kyuuñ hai
mujhe batāo ki aaj kaise
siyāh bārūd kī lakīreñ
kaTīle kājal, sajīle surme
ke bāñkpan se ulajh ga.ī haiñ
ḳhizāñ ke kāñToñ kī uñgliyāñ kyuuñ
har ik chaman se ulajh ga.ī haiñ
mujhe batāo lahū ne kaise
hinā ke jaadū ko dho diyā hai
hayāt ke pairahan ko insāñ
ke āñsuoñ ne bhigo diyā hai
batā sako to mujhe batāo
ki saaz naġhmoñ se kyuuñ haiñ rūThe
batā sako to mujhe batāo
ki taar kyuuñ paḌ ga.e haiñ jhūTe
mire azīzo, mare rafīqo
mirī communism kuchh nahīñ hai
ye ahd-e-hāzir kī aabrū hai
mirī communism kuchh nahīñ hai
ye ahd-e-hāzir kī aabrū hai
mirī communism zindagī ko
hasīñ banāne kī aarzū hai
ye ek ma.asūm justujū hai
tumhāre dil meñ bhī shāyad aisī
koī javāñ-sāl aarzū ho
koī ubaltī huī surāhī
koī mahaktā huā subū ho
zarā ye samjho mire azīzo
mire rafīqo zarā ye socho
tumhāre qabze meñ kyā nahīñ hai
tumhārī Thokar se jaag uThegī
tumhāre qadmoñ meñ jo zamīñ hai
bas ek itnī kamī hai yaaro
ki zauq begāna-e-yaqīñ hai
tumhārī āñkhoñ hī meñ hai sab kuchh
tumhārī āñkhoñ meñ sab jahāñ hai
tumhārī palkoñ ke nīche dhartī
tumhārī palkoñ par āsmāñ hai
tumhāre hāthoñ kī jumbihsoñ meñ
hai jū-e-rañg-e-bahār dekho
na dekho is be-sutūn-e-ġham ko
tum apne teshoñ kī dhaar dekho
tum apne teshe uThā ke laao
maiñ le ke apnī kudāl niklūñ
hazār-hā saal ke masā.ib
hazār-hā saal ke mazālim
jo ruuh o dil par pahāḌ ban kar
hazār-hā saal se dhare haiñ
ham apne teshoñ kī zarb-e-kārī
se un ke sīnoñ ko chhed Dāleñ
ye hai sirf ek shab kī mehnat
jo ahd kar leñ to ham sahar tak
hayāt-e-nau ke na.e ajantā
na.e ellora tarāsh Dāleñ
mere azizo, mere rafiqo
meri communism se ho KHaif
meri tamanna se Dar rahe ho
magar mujhe kuchh gila nahin hai
tumhaari ruhon ki sadgi se
tumhaare dil ki sanam-gari se
mujhe ye mahsus ho raha hai
ki jaise begana hawa bhi tak
tum apne andaz-e-dilbari se
ki jaise waqif nahin abhi tak
sitamgaron ki sitamgari se
fareb ne jin ke aadmi ko
haqir o buzdil bana diya hai
haqiqaton ke muqable mein
farar karna sikha daya hai
tumhein ye jis din pata chalega
hayat rang-e-hina nahin hai
hayat husn-e-butan nahin hai
ye ek KHanjar-ba-kaf karishma
ek zahrila jam-e-mai hai
hamari piri ho ya jawani
malul o afsurda zindagani
shikasta-e-naghma shikasta-e-nai hai
tumhein ye jis din pata chalega
tassubaat-e-kuhan ke parde
tumhaari aankhon mein jal-bujhenge
ye tum ne kaise samajh liya hai
ki dil mera ishq se hai KHali
meri nazar husn se hai aari
qarib aao tumhein bataun
mujhe mohabbat hai aadmi se
mujhe mohabbat hai zindagi se
mujhe mohabbat hai mah-jabinon
se, gul-ruKHon se saman-e-baron se
kitabon se, roTiyon se, phulon se
pattharon se, samundaron se
meri nigah mein base hue hain
hazar andaz-e-dil-rubai
main apne sine ko chaak kar ke
agar tumhein apna dil dikhaun
to tum ko har zaKHm ke chaman mein
hazar sarw-e-rawan milenge
udas maghmum wadiyon mein
hazar-ha naghma-KHwan milenge
hazar aariz, hazar shamen
hazar qamat, hazar ghazlen
subuk-KHaraman ghazal jaise
hazar arman hazar umiden
falak pe taron ke jal jaise
magar koi toDe de raha hai
larazti mizhgan ke nashtaron ko
dilon ke andar utarta hai
koi siyasat ke KHanjaron ko
kisi ke zahrile tez naKHun
uqab ke panja-ha-e-KHunin
ki tarah aankhon pe aa rahe hain
gulab se tan misal-e-bismil
zamin par tilmila rahe hain
jo pyas pani ki muntazir thi
wo suliyon par Tangi hui hai
wo bhuk roTi jo mangti thi
salib-e-zar par chaDhi hui hai
ye zulm kaisa, sitam ye kya hai
main sochta hun ye kya junun hai
jahan mein nan-e-jawin ki qimat
kisi ki ismat, kisi ka KHun hai
tumhin batao mere azizo
mere rafiqo, tumhin batao
ye zindagi para para kyun hai
hamari pyari hasin zamin par
ye qatl-gah ka nazara kyun hai
mujhe batao ki aaj kaise
siyah barud ki lakiren
kaTile kajal, sajile surme
ke bankpan se ulajh gai hain
KHizan ke kanTon ki ungliyan kyun
har ek chaman se ulajh gai hain
mujhe batao lahu ne kaise
hina ke jadu ko dho diya hai
hayat ke pairahan ko insan
ke aansuon ne bhigo diya hai
bata sako to mujhe batao
ki saz naghmon se kyun hain ruThe
bata sako to mujhe batao
ki tar kyun paD gae hain jhuTe
mere azizo, mare rafiqo
meri communism kuchh nahin hai
ye ahd-e-hazir ki aabru hai
meri communism kuchh nahin hai
ye ahd-e-hazir ki aabru hai
meri communism zindagi ko
hasin banane ki aarzu hai
ye ek masum justuju hai
tumhaare dil mein bhi shayad aisi
koi jawan-sal aarzu ho
koi ubalti hui surahi
koi mahakta hua subu ho
zara ye samjho mere azizo
mere rafiqo zara ye socho
tumhaare qabze mein kya nahin hai
tumhaari Thokar se jag uThegi
tumhaare qadmon mein jo zamin hai
bas ek itni kami hai yaro
ki zauq begana-e-yaqin hai
tumhaari aankhon hi mein hai sab kuchh
tumhaari aankhon mein sab jahan hai
tumhaari palkon ke niche dharti
tumhaari palkon par aasman hai
tumhaare hathon ki jumbihson mein
hai ju-e-rang-e-bahaar dekho
na dekho is be-sutun-e-gham ko
tum apne teshon ki dhaar dekho
tum apne teshe uTha ke lao
main le ke apni kudal niklun
hazar-ha sal ke masaib
hazar-ha sal ke mazalim
jo ruh o dil par pahaD ban kar
hazar-ha sal se dhare hain
hum apne teshon ki zarb-e-kari
se un ke sinon ko chhed Dalen
ye hai sirf ek shab ki mehnat
jo ahd kar len to hum sahar tak
hayat-e-nau ke nae ajanta
nae ellora tarash Dalen
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.