mere charagh bujh gae
mire charāġh bujh ga.e
maiñ tīrgī se raushnī kī bhiik māñgtā rahā
havā.eñ sāz-bāz kar rahī thiiñ jin dinoñ siyāh raat se
unhī siyāh sā.atoñ meñ sāneha huā
tamām ā.īne ġhubār se be-nūr ho ga.e
sarā ke chaar samt haul-nāk shab kī ḳhāmushī
chamaktī aañkh vaale bheḌiyoñ ke ġhol le ke aa ga.ī
qabā-e-zindagī vo phaaḌ le ga.e nukīle nāḳhunoñ se us tarah
ki ruuh chīthaḌoñ meñ baT ga.ī
ḳharāb mausamoñ kī chaal thī ki ās-pās bāñbiyoñ se
aa ga.e nikal ke saañp jhūmte hue
bujhā diyā safed raushnī kā dil
madad ko maiñ pukārtā thā aur dekhtī thiiñ putliyāñ tamāshā ġhaur se
magar na aa.iiñ biin le ke amn vaalī bastiyoñ se jogiyoñ kī Toliyāñ
siyāh āñdhiyoñ kā zor kab talak sahārte
mire charāġh bujh ga.e
mere charagh bujh gae
main tirgi se raushni ki bhik mangta raha
hawaen saz-baz kar rahi thin jin dinon siyah raat se
unhi siyah saaton mein saneha hua
tamam aaine ghubar se be-nur ho gae
sara ke chaar samt haul-nak shab ki KHamushi
chamakti aankh wale bheDiyon ke ghol le ke aa gai
qaba-e-zindagi wo phaD le gae nukile naKHunon se us tarah
ki ruh chithaDon mein baT gai
KHarab mausamon ki chaal thi ki aas-pas banbiyon se
aa gae nikal ke sanp jhumte hue
bujha diya safed raushni ka dil
madad ko main pukarta tha aur dekhti thin putliyan tamasha ghaur se
magar na aain bin le ke amn wali bastiyon se jogiyon ki Toliyan
siyah aandhiyon ka zor kab talak sahaarte
mere charagh bujh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.