Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere dil ke TuTe sitare ko tumne

Zeeshan Sahil

mere dil ke TuTe sitare ko tumne

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    mire dil ke TuuTe sitāre ko tum ne

    nigāhoñ se sham-e-farozāñ banāyā

    darīche meñ khiltī huī ik kalī ko

    laboñ ne chhuā aur gulistāñ banāyā

    rag-o-pai meñ gul-rañg sail-e-ravāñ ko

    do-ālam se yaksar gurezāñ banāyā

    azal se bhaTaktī huī aarzū ko

    tamannā-e-shahr-e-dil-o-jāñ banāyā

    mohabbat ke bikhre hue ḳhār-o-ḳhas se

    jahāñ meñ bas ik dasht-e-imkāñ banāyā

    ḳhudā na honā bhī mumkin hai lekin

    jo maujūd hai us ko imkāñ banāyā

    mere dil ke TuTe sitare ko tum ne

    nigahon se sham-e-farozan banaya

    dariche mein khilti hui ek kali ko

    labon ne chhua aur gulistan banaya

    rag-o-pai mein gul-rang sail-e-rawan ko

    do-alam se yaksar gurezan banaya

    azal se bhaTakti hui aarzu ko

    tamanna-e-shahr-e-dil-o-jaan banaya

    mohabbat ke bikhre hue KHar-o-KHas se

    jahan mein bas ek dasht-e-imkan banaya

    KHuda ka na hona bhi mumkin hai lekin

    jo maujud hai us ko imkan banaya

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 577)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now