mere KHwab mujhe lauTa do
jashn-e-āzādī mubārak ho tujhe arz-e-vatan
jashn-e-āzādī tujhe merā salām
yaad haiñ mujh ko abhī
apne bachpan kī vo raushan sub.heñ
jashn-e-āzādī ke shādāñ manzar
saare vo hubb-e-vatan ke naġhme
jin ke āhang pe āñkhoñ meñ diye jalte the
jin ke har lafz pe īqān huā kartā thā
īmān huā kartā thā
jashn-e-āzādī maiñ qurbān tirī azmat ke
aur kuchh tujh se nahīñ māñgtī maiñ
bas mire ḳhvāb mujhe lauTā de
vo umīdoñ kī virāsat mire tābinda ḳhvāb
vo kahīñ
be-yaqīnī kī ghanī dhund meñ kho.e hue haiñ
jo kabhī mere buzurgoñ ne mujhe sauñpe the
amn-e-ālam ke mohabbat ke ravādārī ke ḳhvāb
aam insān kī azmat ke vafādārī ke ḳhvāb
ik na.e daur kī tayyārī ke ḳhvāb
ai mirī arz-e-vatan
mujh ko lauTā de vahī
mere purkhoñ kī virāsat vahī raḳhshanda ḳhvāb
taaki maiñ apnī na.ī nasl ko bhī
un kī amānat sauñpūñ
un kī āñkhoñ meñ sajā duuñ
vo ḳhush-ā.inda ḳhvāb
jashn-e-azadi mubarak ho tujhe arz-e-watan
jashn-e-azadi tujhe mera salam
yaad hain mujh ko abhi
apne bachpan ki wo raushan subhen
jashn-e-azadi ke shadan manzar
sare wo hubb-e-watan ke naghme
jin ke aahang pe aankhon mein diye jalte the
jin ke har lafz pe iqan hua karta tha
iman hua karta tha
jashn-e-azadi main qurban teri azmat ke
aur kuchh tujh se nahin mangti main
bas mere KHwab mujhe lauTa de
wo umidon ki wirasat mere tabinda KHwab
wo kahin
be-yaqini ki ghani dhund mein khoe hue hain
jo kabhi mere buzurgon ne mujhe saunpe the
amn-e-alam ke mohabbat ke rawadari ke KHwab
aam insan ki azmat ke wafadari ke KHwab
ek nae daur ki tayyari ke KHwab
ai meri arz-e-watan
mujh ko lauTa de wahi
mere purkhon ki wirasat wahi raKHshanda KHwab
taki main apni nai nasl ko bhi
un ki amanat saunpun
un ki aankhon mein saja dun
wo KHush-ainda KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.