mere liye kaun sochta hai
mire liye kaun sochtā hai
judā judā haiñ mire qabīle ke log saare
judā judā sab kī sūrateñ haiñ
sabhī ko apnī anā ke andhe kueñ kī tah meñ paḌe hue
ḳhvāhishoñ ke pinjar
havas ke TukḌe
havās reze
hirās kañkar talāshnā haiñ
sabhī ko apne badan kī shah-e-rag meñ
qatra qatra lahū kā laavā uñDelnā hai
sabhī ko guzre dinoñ ke dariyā kā dukh
virāsat meñ jhelnā hai
mire liye kaun sochtā hai
sabhī kī apnī zarūrateñ haiñ
mirī rageñ chhiltī jarāhat ko kaun baḳhshe
shifā kī shabnam
mirī udāsī ko kaun bahlā.e
kisī ko fursat hai mujh se pūchhe
ki merī āñkheñ gulāb kyuuñ haiñ
mirī mashaqqat kī shāḳh-e-uriyāñ par
sāzishoñ ke azaab kyuuñ haiñ
mirī hathelī pe ḳhvāb kyuuñ haiñ
mire safar meñ sarāb kyuuñ haiñ
mire liye kaun sochtā hai
sabhī ke dil meñ kudūrateñ haiñ
mere liye kaun sochta hai
juda juda hain mere qabile ke log sare
juda juda sab ki suraten hain
sabhi ko apni ana ke andhe kuen ki tah mein paDe hue
KHwahishon ke pinjar
hawas ke TukDe
hawas reze
hiras kankar talashna hain
sabhi ko apne badan ki shah-e-rag mein
qatra qatra lahu ka lawa unDelna hai
sabhi ko guzre dinon ke dariya ka dukh
wirasat mein jhelna hai
mere liye kaun sochta hai
sabhi ki apni zaruraten hain
meri ragen chhilti jarahat ko kaun baKHshe
shifa ki shabnam
meri udasi ko kaun bahlae
kisi ko fursat hai mujh se puchhe
ki meri aankhen gulab kyun hain
meri mashaqqat ki shaKH-e-uriyan par
sazishon ke azab kyun hain
meri hatheli pe KHwab kyun hain
mere safar mein sarab kyun hain
mere liye kaun sochta hai
sabhi ke dil mein kuduraten hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 455)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.