mere panw ke niche KHak nahin
mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ kisī aur ke paañv kī miTTī hai
darvāza khulā
aur māh-e-zavāl dar aayā
band makāñ ke rauzan-e-dar se
aage saat dulhan kī qabr hai
nīche kūza-garoñ kī bastī hai
kūza-garoñ kī bastī meñ mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ
baḌe qisse haiñ
baḌe qisse haiñ dil sabr-o-savāl ke sunñe ke
baḌī bāteñ saif-o-kitāb pe likhne kī
baḌe ḳhvāb haiñ oḌh ke sone ko
kabhī ḳhvāb likhe nahīñ jaate
kabhī bāteñ sunī nahīñ jātīñ
kabhī qisse kahe nahīñ jaate
kūza-garoñ kī bastī meñ baḌe qisse haiñ aur ḳhaak nahīñ
mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ
aur māh-e-zavāl dar aayā
band makāñ ke rauzan-e-dar se
aage saat dulhan kī qabr hai
nīche kūza-garoñ kī bastī hai
kūza-garoñ kī bastī meñ
mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ kisī aur kī paañv kī miTTī hai
mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ke panw ki miTTi hai
darwaza khula
aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se
aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai
kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche KHak nahin
baDe qisse hain
baDe qisse hain dil sabr-o-sawal ke sunne ke
baDi baaten saif-o-kitab pe likhne ki
baDe KHwab hain oDh ke sone ko
kabhi KHwab likhe nahin jate
kabhi baaten suni nahin jatin
kabhi qisse kahe nahin jate
kuza-garon ki basti mein baDe qisse hain aur KHak nahin
mere panw ke niche KHak nahin
aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se
aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai
kuza-garon ki basti mein
mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ki panw ki miTTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.