mere sath chal
ai hayāt-e-nau ke payāmbar
mire saath chal mire saath chal
maiñ huuñ ham-qadam tirī ham-safar
mire saath chal mire saath chal
maiñ nashāt-e-shām-o-sahar bhī huuñ
maiñ hayāt-e-shāḳh-o-samar bhī huuñ
ai mire vajūd se be-ḳhabar
mire saath chal mire saath chal
tū hī kārvāñ kā amiin hai
tire saath merā yaqīn hai
tū hī hukmrāñ tū hī rāhbar
mire saath chal mire saath chal
tire naqsh-e-pā kī asiir hai
tirī manziloñ kī safīr hai
mirī fikr aur mirī nazar
mire saath chal mire saath chal
na.e moḌ rāhoñ meñ aa ga.e
na.ī kashmakash ko jagā ga.e
mirī manziloñ ko talāsh kar
mire saath chal mire saath chal
haiñ na.e ufuq na.e āsmāñ
hai chaman nayā nayā āshiyāñ
tū sañvār de mire bāl-o-par
mire saath chal mire saath chal
mire dil meñ ḳhauf-e-jahāñ bhī hai
hai yaqīn kuchh to gumāñ bhī hai
abhī tarz-e-nau se huuñ be-ḳhabar
mire saath chal mire saath chal
nayā nuur chashm-e-falak meñ hai
na.ī aab shams-o-qamar meñ hai
huī ḳhīra ḳhīra mirī nazar
mire saath chal mire saath chal
maiñ savāl huuñ tū javāb de
mirī zindagī kā hisāb de
kyoñ vafā.eñ merī haiñ be-asar
mire saath chal mire saath chal
mirā nāḳhudā hai ḳhudā nahīñ
tirī ham-qadam huuñ gadā nahīñ
mirī bebasī ko tamām kar
mire saath chal mire saath chal
ai hayat-e-nau ke payambar
mere sath chal mere sath chal
main hun ham-qadam teri ham-safar
mere sath chal mere sath chal
main nashat-e-sham-o-sahar bhi hun
main hayat-e-shaKH-o-samar bhi hun
ai mere wajud se be-KHabar
mere sath chal mere sath chal
tu hi karwan ka amin hai
tere sath mera yaqin hai
tu hi hukmran tu hi rahbar
mere sath chal mere sath chal
tere naqsh-e-pa ki asir hai
teri manzilon ki safir hai
meri fikr aur meri nazar
mere sath chal mere sath chal
nae moD rahon mein aa gae
nai kashmakash ko jaga gae
meri manzilon ko talash kar
mere sath chal mere sath chal
hain nae ufuq nae aasman
hai chaman naya naya aashiyan
tu sanwar de mere baal-o-par
mere sath chal mere sath chal
mere dil mein KHauf-e-jahan bhi hai
hai yaqin kuchh to guman bhi hai
abhi tarz-e-nau se hun be-KHabar
mere sath chal mere sath chal
naya nur chashm-e-falak mein hai
nai aab shams-o-qamar mein hai
hui KHira KHira meri nazar
mere sath chal mere sath chal
main sawal hun tu jawab de
meri zindagi ka hisab de
kyon wafaen meri hain be-asar
mere sath chal mere sath chal
mera naKHuda hai KHuda nahin
teri ham-qadam hun gada nahin
meri bebasi ko tamam kar
mere sath chal mere sath chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.